Sitelinks क्या हैं और Sitelinks सर्च रिजल्ट में कैसे दिखाये

2

Agar aap blogging karte hai ya fir apki khud ki website hai jo aap run karte hai to aise me apko Sitelinks ke bare me jarur jankari honi chahiye.

Jyada tar logo ko sitelinks ke bare me nahi malum hota hai agar aapko bhi sitelinks ke bare me jyada kuch nahi malum hai to aap bilkul sahi jagah pe hai.

Is blog post me hum apko Google Sitelinks se juri sabhi jankari dene wale hai jaise ki Sitelinks Kya hai aur Sitelinks ko search result me kaise dikhaye ityadi.

To chaliye sabse ye jante hai ki Sitelink kisse kehte hai.

Sitelinks क्या हैं Hindi Mein

Google search engine me jab ham kuch bhi search karte hai to hamare search results ke niche kuch links aate hai vo links sitelinks hota hai.

Sitelinks internet user ko sites par navigate karne me madad karta hai. Jab kisi bhi site ko Google me search kiya jata hai to us sites ke main link ke alawa other useful links ko bhi Google search results me dikhata hai taki user asaani se use access kar sake.

What are sitelinks and how can I get them

Sabhi site ko Google me search karne par unke sitelinks nahi bante hai. Google algorithm ko jab kisi site ka structure sahi lagta hai aur lagta hai ki us sites ke link user ke liye useful hai tabhi vo sitelink dikhata hai.

Jab user koi query karta hai par Google algorithm ko lagta hai ki us query se jura aapke sites par koi useful links nahi hai to vo sitelinks nahi dikhata hai.

To ye baat to saaf tarike se samaj gaye honge ki sitelinks automated hota hai jo aap nahi laga sakte vo Google algorithm ko jab kisi sites ka link useful lagta hai to vo khud hi sitelinks show karta hai.

Niche aap image me dekh sakte hai ki search results me sitelink kaise show hota hai.

साइटलिंक क्या हैं और इसे कैसे प्राप्त करे

Sitelinks Kyon Important Hai ? साइटलिंक के क्या फायदे है ?

Koi bhi vyakti jab site banata hai to uska main maksad hota hai User. Sitelinks ek bahut hi achha tarika hai jisse user sites ke Internal links par asani se navigate kar pata hai.

Yeh aapke sites ka internal links ko show karta hai jisse jayda traffic milne ke chance rehte hai kunki Google algorithm unhi links ko show karta hai jo user ke query ke results ke liye better aur useful hota hai.

Isse click through rate yani ki CTR increase hota hai.

Yeh Internal links ko Highlight kar ke show karta hai jisse user ka attract hone ke chance jyada rehta hai.

Google Sitelinks कैसे प्राप्त करे | Sitelinks सर्च रिजल्ट में कैसे दिखाये

Aap khud se sitelinks nahi laga sakte hai. Aap apne website ko aisa banaye ke usse google achhe se crawl kare yani ki site ka structure sahi ho sath hi apne sites ke internal pages (home page ke alwa other page) ka page content update rakhe. Google algorithm ko lagne par automatically user ke query ke anusar aapke site ka sitelinks show karne lagta hai.

Fir bhi mai kuch steps bata raha hun jisse follow karenege to aapke website ke liye sitelink jaldi ban sakta hai.

Choose Unique Brand Name

Jo bhi aap site bananye usse as brand samajhe aur bilkul uniuqe rakhe kyunki log aksar search karne ke liye puri site address nahi likhte hai vo brand name aur sitename hi likhte hai. Isliye search results me aane ke liye jaruri hai ki aapke site name aur aapka domain name dono same ho aur unique ho. Jab bhi user ko aapka site search karna hota hai to vo simply name type kar ke search karta hai.

Simple and Clean Site Structure

Website ka structure jitna clear aur easy hoga utna jyda achha hai usse Google bot sabhi page ko asaani se crawl kar pata hai aur site ke sabhi page jaldi index ho jate hai. Koshish kare ki structure bilkul clean ho taki Google ko crawling me dikkat na ho aur sabhi internal page index ho.

Internal Page Link ko Home Page Par Add Kare

Google internal link ko hmesha importance deta hai isliye apne other page ko homepage par link jarur kare taki jab bhi apki homepage site url crawl kare to uske sath hi internal page ko bhi Google bot crawl kar sake.

Pages Ka Title Aur Description Update Kare (On Page SEO)

Home page ke alwa jitne bhi pages hai unke on page SEO kare. Other page par valuable content ho sath hi un pages ka title aur description jarur update kare taki vo search results me aa sake.

SEO Kya Hai Hindi Me | What is SEO in Hindi

Internal Linking

Internal link ki agar baat kare to vo sabse jayada help karta hai Sitelink banane me to isliye jab bhi aap koi article likhe to usme agar koi aisa keyword aata hai jis ke bare me aap pehle se article likh rakhe hai to use interlink jarur kare. Aapko apne website me jaha bhi related keyword milta hai vaha par purane article ko interlink kar sakte hai.

Bahut se aise article ke link hote hai jo sitelinks me aata hai kyunki uska link dusre kai related article par diya gaya rehta hai. Interlinking seo ke liye bahut hi achha hai aur isse website ke post ko rank hone me bhi bahut help milta hai.

इंटरनल लिंकिंग क्या है ? इंटरनल लिंकिंग के फायदे

Long Post Me Table of Contents Ka Use Kare

Kai bar apne dekha hoga ki jab aap kisi bhi keyword ko Google me search karte hai to kisi site ka link to aata hai par sath hi us page other links bhi search results me aa jata hai.

Searches me aise aane ke piche sabse bara reason hai table of contents. Jab bhi koi long post content likha jata hai to uske content par navigate karne ke liye Table of contents ka use kiya jata hai aur vo page ke sabhi heading ko bhi link jaise treat karta hai.

Ab us page ke heading ko Google bhi searches me link bana kar show karta hai jisse ki user bhi us par click kar direct usi section par ja sake. Isliye lambe post content me table of contents ka upyog kare.

WordPress Blog में Table of Contents कैसे ऐड करे

Submit Sitemap

Jab aap site banate hai to usme page bhi add karte hai agar blog hota hai to aksar naye naye post add karte hai aise me aap apne website ya blog ka sitemap banaye aur usse submit kare taki apke site ke link indexed ho sake aur agar sitemap pehle se submit kiya hua hai to use resubmit kare taki naye link jo site par add hue hai vo indexed ho jaye.

Conclusion: Sitelinks Kya Hai

Umeed hai ki aap asani se samaj gaye honge ki Sitelink kya hai aur site ke liye kaise show karate hai, Sitelink ke kya fayde hai. Sitelinks ko Google sitelinks bhi kehte hai.

Is article se jura koi sawal ya sujhav ho to comment kar jarur bataye. 🙂

पिछला लेखसोशल मीडिया पोस्ट करने के लिए Best Time 2022
अगला लेखफेसबुक वीडियो डाउनलोड कैसे करें | फेसबुक वीडियो कैसे सेव करे
Verman Babu
वर्मन बाबू एक professional blogger है | ये Blogging, SEO, Affiliate Marketing, Make money online, Internet, BlogSpot, WordPress, Computer-related tips, How to guides, Email marketing, Social media, Tips, and tricks इत्यादि से रिलेटेड article लिखते है | नयी चीज़ के बारे में जानना सोचना और Blogging के द्वारा अपनी जानकारी सबके साथ शेयर करना इन्हें अच्छा लगता है |

2 टिप्पणियाँ

उत्तर छोड़ दें

Please enter your comment!
Please enter your name here