Internal Linking क्या है ? इंटरनल लिंकिंग के फायदे

0

Agar aap kuch samay se blogging kar rahe to aise me aapke paas aise kai sare blog post ho jate hai jo ek dusre se related ho.

Aap apne ek blog post ko related dusre blog post se link kar sakte hai jisse ki reader ek post se dusre related post par ja sake. Is process ko internal linking kaha jata hai.

Jyada tar blogger interlink ka importance nahi samjhte hai lekin blog SEO ke liye ye bahut fayde mand hai. Google search results me rank karne me internal linking bhi bahut help karta hai.

Blog articles ka Internal linking ek bahut hi badiya On-page SEO ka tarika hai. Is article me hum janege ki internal linking kya hai,internal linking se kya fayde hai aur internal linking kaise karte hai.

What is internal linking.Benefits of internal linking in SEO.

Interlinking Kya Hai [What is Interlinking] ?

Apne purane blog post ko new post me link karne ko Interlinking kehte hai. Yeh ek On-Page SEO technique hota hai. Agar aap interlinking sahi se karte hai to aise me aapke related keyword search engine me rank karti hai sath hi traffic pane me bhi help milta hai.

Article Interlinking Se Kya Fayde Hai [Benefits of Internal Linking In SEO]

Page views:

Aap interlinking se badhiya page views la sakte hai. Jab aapka reader koi jankari pane ke liye aapka koi blog post padhta rehta hai to aise me vo related article ko padhne ke liye interlink text par click karta hai.

Bounce Rate:

Sahi tarike se blog post ko interlink kar ke aap apne blog ka bahut had tak Bounce Rate kam kar paate hai.

Old Post Ko Link Juice Pass Karne Me:

Interlink karne ke baad aap ek blog post se dusre ke liye link juice paas hone lagta hai. Isliye hmesha related blog post ko interlink jarur kare.

PageRank Badhane Me:

Kisi bhi keyword par jab hum anchor text add karte hai interlinking ke liye to vo rank karne me help karta hai.

Badhiya Crawling aur Indexing :

Search engine hmesha hi fresh content ko crwaling karta hai aur jab aap apne purane post ko naye se interlink kar dete hai to aise me google bot se aap apne purane post ko bhi crawl kara pate hai. Isse aapki sabhi blog post ki indexing achhi rehti hai.

Blog Posts Ko Interlink Kaise Kare (How to Interlink Your Blog Posts)

WP Plugin

Agar aapka Blog WordPress me bana hai to aise me aap plugin ka use kar ke interlink kar sakte hai.

Default Insert Link in WP

WordPress me Link insert karne ka default option pehle se maujud hota hai jiska use kar ke aap kisi bhi text par apne old blog post ka link insert kar sakte hai.

Related Posts

Aap apne post se ke last me related post ka section add kar sakte hai jaha par aap ke current post se related blog post ka title(link ke sath) dikha sakte hai. Ek tarike se yeh bhi interlink ka kaam karta hai.

Add anchor

Agar aapko ko coding ka jankari hai to aise me aap asaani se interlinking kar sakte hai. Yha par aapko anchor tag ka use karke kisi bhi keyword par old post ko interlink karna hota hai.

Umeed karta hu ki aapko interlinkg se juri sabhi jankari purn rup se mil paya hoga. Har blogger ko Interlinking par kaam karna chahiye kyunki ye tarika hai backlinks banane ke jo SEO ke liye kafi achha hota hai.

Agar Post Inter linking se jura koi sawal ya sujhav ho to comment me jarur bataye. Aapko hmare dawara di gayi jankari pasand aaya ho to apne dosto ke sath jarur share kare.

पिछला लेख9 Best Steps Badhiya Blog Post लिखने के लिए
अगला लेखअपनी Computer Screen Record कैसे करें
वर्मन बाबू एक professional blogger है | ये Blogging, SEO, Affiliate Marketing, Make money online, Internet, BlogSpot, WordPress, Computer-related tips, How to guides, Email marketing, Social media, Tips, and tricks इत्यादि से रिलेटेड article लिखते है | नयी चीज़ के बारे में जानना सोचना और Blogging के द्वारा अपनी जानकारी सबके साथ शेयर करना इन्हें अच्छा लगता है |

उत्तर छोड़ दें

Please enter your comment!
Please enter your name here