SEO Kya Hai Aur SEO Kaise Karte Hai?

1

Dosto aaj ke is article me hum SEO ke bare me janenge. Main bahut hi assan tarike se batane wala hu ki SEO kya hai aur SEO kaise karte hai vo bhi Hindi me aur blog ya website ke liye SEO kyun jaruri hai.

SEO ka full form hota hai Search Engine Optimization.

SEO ek aisa process hai jiska use kar hum apne blog ya website ko search engine results me top par late hai bina koi paise diye hue.

SEO Kya Hai Hindi Me | What is SEO in Hindi

SEO Kya Hai? (What is SEO in Hindi)

SEO ek process(tarika) hai jiska use kisi bhi blog/website ko search engine me ranking me lane ke liye kiya jata hai. Yani aap ye to samajh gaye ki iss process ka use kar aap apne website ka search engine me ranking increase kar sakte hai.

Search engine ek tarah ke application hai jiska use internet par jankari dundhane ke liye kiya jata hai.(jaise ki Google, Yahoo, Bing).


Search engine me sabse jyada use Google ka hai iske alwa yahoo aur bing bhi maujud hai lekin inka use kam hota hai. Kisi bhi website par free organic traffic pane ka jo process hai vo SEO hai.

आसान शब्दों में:

SEO ek process hai jiska use karke aap apne blog ko search engine results me top par la sakte hai.

Kisi bhi person ke website banane ka maksad rehta hai ki use webite par jyada se jyada visitors aaye. Website par visitors aane ke liye jaruri hai ki uske links search engine results me top par aaye.

Search engine results me website ke links top par aane ke liye jaruri hai uske links rank kare aur jaise ki maine bataya ki ranking me lane ka kaam SEO ka hai.

Ab ye baat to saaf ho chuki hai ki kisi bhi website par visitors lane ke liye jaruri hota hai ki hum uske liye SEO kare .

Umeed hai ki aap bahut hi ache se samajh gaye honge ki SEO kya hai aur SEO kaise karte hai. Ab ye bhi samjhna jaruri hai ki SEO ki itni jarurat kyun hai kisi bhi website ya blog ke liye.

Blog Ke Liye SEO Kyu Jaruri Hai?

Jab bhi aap Google me koi keyword search karte hai to apne dekha hoga ki usse se related bahut sare results aate hai jo sabhi alag alag blog ke ke links hote hai lekin isme koi results aisa bhi hota jo pahle page par 1st position me aata hai iska matlab ye hai ki usne apne blog ke liye bahut hi ache se SEO kiya hua hai tabhi uski ranking search engine me number 1 position par hai.

Jin blog ke link search engine result me pahle page par aa rahi hai yani usne seo ache se kiya hai aur unke blog visitors bhi bahut aate hai.

Agar aapko apne blog par visitors chahiye to jaruri hai ki aapka blog post link search engine me first page page par aaye. Search engine me blog links ki positions top par rahe yani pahle page par 1 to 5 links me jisse har user sabse pahle open karte hai keyword search karne ke baad.

Sirf acha aur high quality article publish karne se aapke blog par visitors nahi aayenge iske liye jarurui hai aapke post link search engine me rank kare aur iske liye aapko apne blog ke liye SEO karna hota hai.

Ab aap ye samajh chuke honge ki blog ya website ke liye SEO karna kyu jaruri hai.

SEO Kitne Types Ke Hote Hai?

SEO basically two types me divide hai jaise ki aap dekh rahe hai

  1. On page
  2. Off page

Aaye dono ke bare me detail me jante hai one by one

  1. On page SEO: Vo sabhi seo ka kaam jo aap apne website ya blog par karte hai vo on page SEO hai.
  2. Off page SEO : Vo sabhi seo ka kaam jo hum website ke bahar se karte hai.

Aaye ab dono ke bare me vistar rup se jante hai.

On Page SEO Kya Hai?

On page seo ek SEO karne ka process hai jisme sara kaam Website ya blog par hi karte hai taki search results me uski position improve ho sake. On page seo me bhi kai sare kaam hote hai jise kar hum website ko rank karate hai jaisa ki aap niche dekh sakte hai.

  1. Keyword research and analysis
  2. Title tags
  3. Meta description
  4. URL Structure
  5. Content
  6. Internal linkings
  7. Header
  8. Image and Video optimization
  9. Alt image tags
  10. Content optimization
  11. Google webmaster tool guidelines
  12. W3c validations guidelines


Chaliye ek ek kar ke detail me jane ki On page SEO ke sabhi technique ke bare me.

Keyword Research and Analysis


Keyword research SEO ke field me ek bahut hi mahtav purn kaam hai. Keyword research se pata chalta hai kisi particular keyword ko kitne internet user search karte hai. Keyword research karte samaya hamesha low competion wale keyword jinka search jyada ho vaise keyword ko chune.

Title Tags

Agar on page SEO ki baat ki Jaye to title tag ka usme mahatav ko nahi chor sakte hai. Hmesha title me apne main keyword ko shamil Kare. Title me target keyword ko jarur shamil kare isse post ka search engine rank increase hota hai.

Meta Description

Yeh description bhi on page SEO ka ek important hissa hai isme AAP apne content see jure mahatavpurn keyword ka use karte hai. Isme Aap apne topic sentence jure specific keyword ka use karte hai jisse ki vo search results me aaye.

URL Structure

Blog ya website ke URL structure ka SEO friendly hona bahut hi jaruri hota hai kyunki ye    crawling me bahut help karta hai. Target keyword ka url me include rehne se search engine me ranking me bhi better results milta hai.

Content

Ab content ek important role play karta hai kisi bhi website ya blog ke liye. Jo bhi jankari likha jata hai wo content hota kehlata hai. Blog ya website ka content hmesha aisa hona chahiye jo user ko engage kare. Yani ki user ko valuable content mile padhne ke liye janane ke liye jis maksad se vo us link par click kar ke visit kiya hai vo use aapke content me milna chahiye.

Internal Linkings

Blog post ke ander dusre blog post jo related ho uske link ko jarur add kare yeh internal linking kehlata hai.Internal linking ke karan reader aapko blog par jyda time tak rukta hai. Interlinking ka istemal vahi kare jo related post ho jarurat ke anusar lekin jyada na kare.

Headings

Ab jab kisi website ya blog ke liye content likha jata hai to article small paragraph ya section me divide karte hai. Post me heading tag ka use post ke headings, subheadings ya fir koi important points hai use batane ke liye kiya jata hai. Agar aap WordPress user hai to aise me aap post content me H1 tag ka use na kare koi vo aapka article ke heading ke liye use ho chuka rehta hai aur ek se jyada H1 tag ka use nahi karna chahiye.

Image and Video optimization

Apne content me usse related image ya video ko add kar hum ek visually information dete hai taki user padhte padhte bore na ho aur image aur video se samjhna asan ho jaye. Image aur video ko add kar Site ka SEO improve kiya jata hai.

Alt Image Tags

Jab article likhte hai to se related image ka use jarur kiya jata hai to aise me Alt tag use karna bahut hi jaruri hota hai. Alt tag text description hota hai jo kisi bhi image par add kiya jata hai. Google bhi Alt tags text jo image par add kiya jata hai usse value deta hai. Alt text me aap apne focus keyword ka use kare.

Content Optimization

Yeh ek on page seo technique hai jisme content ko optimize kiya jata hai taki vo reader ke liye jayada useful ho sake. Content ko optimize ka aur maqsad ye hota ki aisa valuable content ho taki vo search engine me rank kare.

Google Webmaster Tool Guidelines

Jab aap koi website banate hai ye fir blog banate hai to aise me usse aapko benefit tabhi hota hai jab vo search engine me rank kare.

Duniya me sabse achha Google search engine hai jisme aapke site ka rank karne se kafi benefit milta hai. Isliye Google webmaster ke guidelines ko achhe se padh kar follow kare taki aapki blog/website ke jyada se se jaya achhe se indexing ho aur rank kare.

Apne site ko rank karne ke liye Google general guidelines ke alawa Quality guidelines par bhi dhyan de aur usse follow karna jaruri hota hai.

W3c Validations Guidelines

Website ya blog ko validity check karne ke liye W3c ek free service hai. Jo bhi website hota hai vo markup language yani ki HTML ke rup me hota hai uska ek format hota hai. W3c se validation karne ke matlab hai ki free me check karna ki website ka markup structure sahi hai ya nahi.

Off Page SEO Kya Hai?

Off page seo aur off site seo ek aisa process hota hai jisme sara kaam apne website ke bahar karte hai aur apne site ki ranking position search engine me improve karate hai. Off page seo ke ander bahut sare tarike jo ham site ke bahar ka kaam karne ke liye jaisa ki aap niche dekh sakte hai.

  1. Article submission
  2. Directory submission
  3. Social media
  4. Social bookmarking
  5. Blog/forum commenting
  6. Link building
  7. Guest Posting

Ek ek kar ke vistaar me jante hai Off Page SEO techniques ke bare me.

Article Submission

Article submission ek off page seo technique hai jisme koi bhi vyakti apne business ya professions se jure aticle post likhta hai aur usse popular aur best article submission directory siteps par submit karta hai. Article submission technique ka use kar website/blog ka link ko promote karne ka ek achha tarika hai. Ise site ka backlinks banta hai sath hi page rank bhi achha hota hai.

Directory Submission

Directory submission bhi ek off page seo strategies hai jiska use kar website/blog ko acha bana sakte hai. Yeh ek process hai jisme apne blog website ko web directory submission sites par submit karte hai. Yeh ek best off page SEO technique hai. Yeh aapke site ka page rank badhane me help karta hai aur sath hi search engine se traffic lane me bhi help milta hai.

Social Media

Yeh ek off page seo technique hai jisme aapko apne blog website ke liye social media sites par page banan chahiye aur sath hi vaha par site ka link add kiya jata hai jisse ki site ko backlink milta hai. Is tarike se blog par jayda readers lane me help milta hai.

Social Bookmarking

Social bookmarking ek process hai jisme hum apni website ke links ko social sites par bookmark karte hai. Yeh bhi ek off page seo techniue hai jo backlinks banane ke liye use kiya jata hai. Is technique se site par traffic lane me kafi madad milti hai.

Blog and Forum Commenting

Blog commenting aaj ke samay me backlinks banane ke liye bahut hi famous aur achha tarika mana ja raha hai. Isme hum apne niche se related dusre site blog par comment karte hai aur sath me apne website ka link ya fir kisi post ka link dete hai. Ab us sites ke readers visitors us link par click kar hamare site pe aate hai. Is search engine me site ki ranking improve hoti hai.

Iske alwa forum commenting bhi ek acha off page SEO technique hai jisme hum forum ki site par jakar kisi user ke sawal ka jawab dete hai sath hi agar usse article agar likha hua ho to uska link de dete hai jisse ki forum user ko help mil jata hai aur hame backlink. Forum comment aur posting se website par acha traffic laya ja sakta hai agar isse sahi tarike se kiya jaye.

Link Building

Link building ek process hai jisme hum dusre sites par apne sites ka link add karte hai. Google jo aapke site ke kitne other sites par link hai usse khub achhe se consider karta hai sath usse importance deta hai.

Jitna jyada kisi site ka link dusre sites par hota hai utana jyada vo search engine me achha rank kar pata hai. Link building ka istemal search engine ke dawara website ka traffic badhane ke liye kiya jata hai.

Guest Posting

Guest posting ya blogging bhi ek off page seo technique hai jisme hum dusre ke blog par apna post publish karate hai jisse ek blogger ke sath achha relation banta hai sath hi site ko ek link mil jata hai.  

Link ko Google ek main ranking factor manta hai. Guest blogging ya posting karne se dusre sites se backlink pane ka ek achha mauka milta hai jisse sites ki page rank improve hoti hai.

Dosto is post me aapne jana ki SEO kya hota hai aur kitne prakar ke SEO hote hai. Umeed hai ki ye jankari apko achhi lagi hogi. Blog post achha laga ho to isse social media pe share jarur kare.

Agar apka koi sawal ya sujhav ho jo aap hume dena chahte hai to comment section me likh hume jarur bataye.

पिछला लेखफेसबुक वीडियो या पोस्ट बाद में देखने के लिए कैसे सेव करें
अगला लेखसोशल मीडिया पोस्ट करने के लिए Best Time 2022
वर्मन बाबू एक professional blogger है | ये Blogging, SEO, Affiliate Marketing, Make money online, Internet, BlogSpot, WordPress, Computer-related tips, How to guides, Email marketing, Social media, Tips, and tricks इत्यादि से रिलेटेड article लिखते है | नयी चीज़ के बारे में जानना सोचना और Blogging के द्वारा अपनी जानकारी सबके साथ शेयर करना इन्हें अच्छा लगता है |

1 COMMENT

उत्तर छोड़ दें

Please enter your comment!
Please enter your name here