17 Best Off Page SEO Techniques in Hindi 2022

1

Off Page SEO techniques ka istemal website ko search engine me high rank(position) par lane ke liye kiya jata hai.

Off page SEO on page SEO se bilkul hi alag hota hai.

Pehle ke article me aapne padha ki SEO Kya Hai aur kaise karte hai. Isme me on page SEO aur off page SEO dono ke bare vistaar rup se bataya gaya hua hai.

Off page SEO bilkul alag technique hota hai isme hame website par ya uske content par koi kaam nahi karna hota hai. Isme website ke bahar bahar hi kaam kiya jata hai jisse ki website search engine me high rank kar sake sath hi website ki authority(domain authority aur page authority) bhi badhe.

17 Best Off Page SEO Techniques [2019]

Off page SEO ka istemal mukhya rup see link building ke liye kiya jata hai. Aaj is lekh me aap 17 Best off Page SEO techniques ke bare jane jiska istemal kar apne website ko search engine me rank kara sakte hai.

Off Page Techniques in SEO | Off Page SEO Techniques in 2022

Social profile creation.

Sabse pehle apko har social network par apne website ke liye account bnana hai aur fir uske profile section me jakar website option me apne website/blog ka link add karna hai aisa karne se apko apne site ke liye backlinks milta hai.

Social network.

Pehle ke step me aap social profile bana chuke hai ab apko apne blog post ko sabhi social network par jyada se jyada share(post) karna hai.

Social bookmarking.

Off page SEO karne ke liye social bookmarking sites bahut hi acha vikalp hai. Sabhi site jaise Reddit,folks, delicious, stumpleupon aur digg etc in par apne blog post link ko bookmark kare.

Guest blogging.

Guest blogging kar aap apne blog ke liye dofollow backlinks prapt kar skate hai. Agar aap quality content likhte hai to aise me àpko apne website se jyada high DA aur PR wale blog par guest post karna chahiye.

Broken link acquisition

Hum kai bar kisi website par visit karte hai to vaha par kisi link par click karte hai to vo kaam nahi karta hai aise me us link text se related agar apke pas article hai to aap us site ke blog author ko us link ki jagah par apna link update karne ke liye request kare.

Competitor research

Blogging karte hai to is tactics ka istemal jarur kare. Aap apne niche se related other blog yani ki aap apne competitor ka backlinks resources pata kare aur vaha se backlink banaye.

Blog marketing

Blog post likhte samay user yani ki reader ka dhyan me rakh kar aisa post likhe jisse other blogger apke post ko apne blog me link kare. Post likhte samay aap dusre website ka mahatavpurn link apne post me jarur add kare.

Forum marketing

Apna account blog niche see jude forum par banaye. Forum par logo ke sawalo ka jawab achhe se de aur agar jarurat ho to vha par help ke liye apne blog ka post link de agar jarurat ho tabhi de. Do follow forum ka jyada istemal karne ki koshish kare.

Convert article in different format photo and video

  • Photo marketing

Aap post se jude image banaye aur usse image wali website par share kare.

  • Video marketing

Apne blog post ki jankari ko video ke rup me badle aur video sharing site par publish kare jaise ki YouTube aur Vimeo.

Search engine submission

Blog ya website hai to sabse jyada jaruri hai ki aap usse search engine me submit kare. Search engine me submit karne se blog post ka link index hote hai.

Write review/testimonial

Apne blog par dusre blogger se Jude article publish kare isse us blog ke readers apke blog ko bhi janenge visit karenge aur ek relationship banega Jo bhavishya me kafi madadgar sabit hoga. Iske alawal aap kisi company ke liye testimonial likh sakte hai aur unhe unke business website par add karne ke liye send kar sakte hai sath hi aap apne website ka link add karne ke liye jarur send kare.

Directory submission

Blog ko high pr directory submission site ko submit kare. Directory submission se juri adhik janakari ke liye is article ko padhe.

Article submission

Blog ke article ko high DA aur pa wali article directory submission site(ex medium.com) par submit Kare.

Answer questions.

Questions answer wali site jaise ki Yahoo ya quora in par puche gaye sawalo ka Jawab de aur usse juri agar apke pas blog article hai Jo helpful ho sakti hai uska link add Kare.

Social community group.

Google+ ya fir Facebook par apne Blog niche see jure community groups join kare aur usme apne blog article ko post kare. Aap apne blog ke liye khud ka group Banaye isse bhi kafi fayda hoga.

Link baiting

Link baiting blog website ko promote karne ka acha tarika hai. Jab aap useful aur unique post likhte hai to aise me other blogger ya fir Anya vyakti use link karna chahte hai. Agar aap kisi vyakti ka content apne post me add Kar rahe hai to uska link bhi  add kare aur anaya blogger bhi apke post link add karenge.

Classified submission.

Blog post ko classified submission site par submit Kare jaise ki Myspace ya iMadespace.

Off Page SEO Techniques Ke Fayde

Ranking

Sabse bada fayda website ranking me hota hai. Search engine me website high rank karta hai jisse website par jyada see jyada visitors aate hai.

Page Rank

Is strategy ko follow karne se website ka page rank high hota hai.  Website ka pagerank jitna jyada high hota hai search engine results me utna hi acha position pe aata hai.

SERP Rank

Off page SEO se website ka page rank(jo ki 1 – 10 Tak hota hai ) acha hota hai aur jitna page rank acha hoga utna hi jyda acha SERP rank hota hai.

Website Exposure

Off page SEO techniques me hum Jo bhi kaam karte hai vo sirf link building hai. Link building se website jyada audience tak pahuchta hai.

Mujhe umeed hai is post ko padhne ke baad Off Page SEO Techniques,off page techniques in SEO ke bare me kafi kuch janane ko mila hoga. Agar apka koi sawal ya sujhav ho to comment kar jarur bataye.

पिछला लेखGoogle Par Photo Upload करने का 2 Best तरीका
अगला लेखमोबाइल में एप्लीकेशन कैसे इनस्टॉल अनइंस्टाल करे
Verman Babu
वर्मन बाबू एक professional blogger है | ये Blogging, SEO, Affiliate Marketing, Make money online, Internet, BlogSpot, WordPress, Computer-related tips, How to guides, Email marketing, Social media, Tips, and tricks इत्यादि से रिलेटेड article लिखते है | नयी चीज़ के बारे में जानना सोचना और Blogging के द्वारा अपनी जानकारी सबके साथ शेयर करना इन्हें अच्छा लगता है |

1 COMMENT

उत्तर छोड़ दें

Please enter your comment!
Please enter your name here