Affiliate Marketing Kya Hai Aur Isse Paise Kaise Kamaye

0

Aaj ke samay me affiliate marketing online paise kamane ka best source me se ek hai. Yeh ek bahut hi purana tarika hai kisi bhi product ka marketing karne ka jo ki bahut useful hai.

Apne kai bar social media par koi link share kiya gya dekhe hona jo ki kisi product ka hota hai darsal me vo affiliate link hota hai.

Aaj is article me mai aapko batane wala hu ki Affiliate marketing kya hai aur affiliate marketing kaise kaam karta hai aur isse paise kaise kamaye jate hai.

Affiliate Marketing Kya Hai Aur Isse Paise Kaise Kamaye

Abhi ke samay me online paise kamane ke liye bahut hi popular tarika me se ek hai. To chaliye jante hai kya hai affiliate marketing.

Affiliate Marketing Kya Hai?

Affiliate marketing ek process hai jisme aapko kisi company ke products ko promote karna hota hai aur product ke sale hone par vo company apko nirdharit commission deti hai.

Aap kisi bhi category me se apna manchaha product utha sakte hai aur usse promote kar sakte hai aur fir us product ke sale hone par apko uske badle commission milti hai jo aap income hota hai.

Affiliate marketing ke ander mukhya rup se 3 party ka role hota hai jisme pehla hai Advertiser, dusra hota hai publisher(jisse affiliate bhi kaha jata hai) aur tisra hai Customer.

Chaliye 3 terms ke bare detail me jane.

Advertiser : Yeh ek seller hota hai ye koi akela vyakti ho sakta hai ya fir koi company jo ki apna product sell karne ke liye offers karta hai.

Publisher(the affiliate) : Yeh koi bhi vyakti ban sakta hai ho sakta hai jo product aur services ko promote karna chahta hai aur paratek product ke sale hone par commission kamata hai. Jo vyakti product ko promote karta hai vo publisher kehlata hai.

Customer (Consumer) : isme hum sabhi shamil hai. Har vah vyakti jo apne jarurato ko pura karne ke liye saman kharidta aur use karta hai vah consumer (customer hai).

Advertise ko apna product sell karna hota hai aur Publisher ko paisa kaman hota hai to publisher advertise se uske products ka link lekar share karta hai apne website ya fir social network sites par aur jaise hi us link par click kar koi customer product ko kharidta hai to Advertiser ko customer se paise mil jate hai aur fir advertise apni kamai ka kuch percent Publisher ko commission ke rup me deta hai. Yeh pura ka pura process hi affiliate marketing hai.

Affiliate Marketing Kaise Kaam Karta Hai (How Affiliate Marketing Works)?

Agar aap Affiliate marketing program se acha paise kamana chahte hai to sabse pehle apko iske concept ko puri tarah se samjhana bahut hi jaruri hai. Koi bhi product ko jab aap promote karte hai to vha main baate hai ki aap kitne customer ko attract kar pa rahe hai aap jitna jyada logo ko attract kar payenge utna jyada income kar payenge.

To chaliye vistar me jante hai ki Affiliate Marketing kaise kaam karta hai aur isse paise kamane ke liye kitne steps follow karne hote hai.

Step 1. Plan and Join Affiliate Program

Sabse pehle hame kisi affiliate program ko join karna hota hai aur vo aap apne manchahe yani interest ke anusar kisi bhi company ka affiliate program join kar sakte hai.

Kisi bhi company ka affiliate program join karne se pehle kuch chijo ke bare me jaane le jaise payment threshold yani ki kitna commission pura hone ke baad vo company paise degi sath hi payment method ke bare me bhi jane ki paise yani ki commission company kis madhyam se aapko pay karegi.

Step 2. Choose Product to Promote

Affiliate program join karne ke baad ab aapko products select karna hota hai aur fir usse  promote karna hota hai taki usse koi vyakti kharide aur aapko uske badle commission mile. Product choose karte samay sabse jayada dhyan commission par dena chahiye ki kaun se product me kitna commission hai aur jayda commission wale product ko chune.

Affiliate Products Ko Promote Karne Ke Liye 3 Options

Jab aap product chunee jate hai to vha par aapko 3 option milte hai jo kuch is prakar hai.

  1. Link
  2. Banner
  3. Widget


Jab aap product choose karte hai to upar diye gaye option me aapko select karna hota hai ki kisi tarah ka promotional material chaiye to uske baad aapko ek code dikhega usse copy karna hota hai aur fir usi code ko aap jaha par promote karna chahte hai vha add karna hota hai jo ki  bahut hi asan hai.

Aap chahe to apne website ,blog ya fir social account par is code ko add kar product ko promote kar sakte hai.

Step 3. Promote and Sell Products

Ab apne product ka code copy kar liya hai usse promote karna hai aur fir koshish karna hai kis tarah se promote kare ki aapke visitors ya followers consumer me badal jaye. Yani ki product aise promote kare ki website visitors ya aapke social profile followers us product ko purchase kar sake.

Ab sawal ye hai ki aakhir me affiliate product ko kaise promote aur sale kare. To chaliye kuch tariko ke bare me jante hai.


Affiliated Products Ko Promote Aur Sell Kaise Kare ?

Vaise to affiliate products ko promote aur sell karne ke liye bahut sare options hai par yaha par hum kuch mahatavapurn tariko ke bare me jante hai.

Write Product based Reviews article

Aap jis product ko promote karna chahte hai usse se related review post likhe aur us product ke bare me purn rup se apne readers ko jankari de taki vo use kharidna chahe. Yeh ek bahut hi achha aur kargar tarika hai affiliate product ko promote karne ka aur fir usse income karne ka.

Use Social Media Marketing

Aaj sabhi ko malum hai ki social media par community kya hai.  Aap Facebook aur Twitter jaise websites par community me product links aur banner share kar bhi apne products ko promote kar sakte hai.

Uploading YouTube Video

Agar aap ek youtuber hai to aap us product se related review video bana sakte hai ya fir apne video ke description me affiliate links dekar bhi apne subscribers ko consumer me badal sakte hai.

Email Marketing

Email marketing bhi kisi bhi products ko promote karne ke liye ek bahut hi badhiya tarika hai. Agar aap blogger hai to aise me apke blog ko kafi readers ne subscribe kiya hoga to aise me aap product related email send kar bhi unhe engage kar sakte hai.

Blog Sidebar Widget

Aap apne blog website ke sidebar me widget me bhi product code ko add kar site par dikha sakte hai aur promote kar sakte hai. Koshish kar ki aapka blog jis category se hai us se related hi product link ya banner chune aur usse dikhaye.

Step 4. Get Paid Your Commission.

Ab jab share kiye hue link se product purchase ho jata hai to apko commission earn hoti hai. Apne jis company ka affiliate program join kiya hai uske site par login kar uske payment option me jakar apna account details jarur add kare taki jaise payment threshold pura ho jaye to apki kamai direct apke account me apko mil jaye.

ब्लॉगर्स के लिए Affiliate Programs के लाभ (Benefits of Affiliate Programs for Bloggers) 

Easy to join

Blogger hone ki wajah se apke pas site to pehle si hoti hai aur aadhaar aur PAN ka istemal kar aap kisi bhi affiliate program ko asani se join kar sakte hai.

Easy to Promote

Blogger ke liye product ko promote kar asan hai vo apne site par product based review article likh sakte hai.

No Risk on Money

Affiliate program join karne me koi paisa nahi lagta hai to aise me paise ka risk bilkul bhi nahi hai.

Multiple Source of Income

Vaise to blogging se kamane ke bahut sare source hai par aap affiliate program join karna chahte hai to apko apne site ki category ke anusar bahut sare affiliate program mil jayenge jise apko kafi jayda income hone ka chance rehta hai.

Paisa Kamane Ke Liye Best Affiliate Program Kaun Hai (Best Affiliate Programs to Make Money)

Vaise to bahut sare affiliate program hai jo aap join kar online income kar sakte hai par yaha par mai kuch popular program ke bare me bata raha hun jise join kar aap jyada commission pa sakte hai.

Best Affiliate Programs to Make Money

  1. Amazon affiliate
  2. Flipkart affiliate
  3. Bigrock affiliate
  4. Hostgator affiliate
  5. CJ affiliate
  6. Clickbank

SiteGround एफिलिएट प्रोग्राम कैसे ज्वाइन करे

Affiliate Marketing Se Jure Kuch Sawal Aur Unke Jawab(FAQ)

To chaliye ab affiliate marketing se jure kuch sawalo ke jawab jaan lete hai jisse amtaur par puch jata hai.

Kya Affiliate marketing karna galat hai

Nahi, Ye kisi tarah se galat nahi hai.

Affiliate marketing se kitna paise kama sakte hai.

Iski koi limit nahi aap se jitna jyada sale hogi utni jyada commission.

Ek site par affiliate marketing aur adsense ek sath use kar sakte hai kya

Haa, kyunki affiliate code add karne se adsense ke policy break nahi hoti hai.

Affiliate program join karne ke kitne paise lagte hai

Koi paisa nahi ye bilkul free hota hai.

Join Karne ke baad product kaha se le?

Aap join karne ke baad product link us affiliate site me login kar uske panel se create kar sakte hai.

Kya Affiliate products ko promote karne ke liye blog hona jaruri hai?

Ji nahi aap aur kai tarike se bhi promote kar sakte hai par blog ek best platform hai promote karne ke liye agar aapke pas hoto jayad behta hai.

Umeed hai ki hamara is Affiliate Marketing ke ultimate guide article se aapko kafi kuch janane ko mila hoga aur aap jaan paye honge ki Affiliate Marketing kya hai aur isse aap kaise paise kama sakte hai.

Agar apka koi sawal ya sujhav ho to comment kar jarur bataye.

पिछला लेखFacebook Text Delight Animation क्या है और इसे कैसे यूज़ करे
अगला लेखEmail Kaise Bhejte Hai ईमेल कैसे देखे
Verman Babu
वर्मन बाबू एक professional blogger है | ये Blogging, SEO, Affiliate Marketing, Make money online, Internet, BlogSpot, WordPress, Computer-related tips, How to guides, Email marketing, Social media, Tips, and tricks इत्यादि से रिलेटेड article लिखते है | नयी चीज़ के बारे में जानना सोचना और Blogging के द्वारा अपनी जानकारी सबके साथ शेयर करना इन्हें अच्छा लगता है |

उत्तर छोड़ दें

Please enter your comment!
Please enter your name here