WordPress.com vs WordPress.org Kaun Badhiya Hai

0

Aaj ke samay me Blog banane ke liye wordpress sabse badhiya paltform hai isme koi doubt nahi hai.

Kai bar naye bloggers ya fir wordpress user ko is baat ko leke confusion rehata hai ki wordpress.com aur wordpress.org kya hai isme kya antar hai ya fir nahi hai, blog banane ke liye kaun sa behtar vikalp hai.

Aksar naye log is wordpress.com vs wordpress.org ko lekar confuse hote hai aur apne blog ke liye kai bar galat decision le lete hai.

Kya aap jante hai ki WordPress.com aur WordPress.org dono alag alag plaform hai yani ki dono me antar hai.

Akasar beginner ke mann ka sawal hota ki kaun behtar platform hai WordPress.com ya WordPress.org. Aaj ke is post me aapke sabhi doubt clear ho jayegne aur aap samaj jayenge ki WordPress.com aur WordPress.org me kya antar hai ? Blog banane ke liye kaun behtar hai ?

WordPress.org

Pro’s
Agar WordPress.org pe blog bnaate hai to aapka apne website par full control rehta hai.

  • Yeh open source yani ki free hota hai aur use karna bhi asan hai .
  • Aapko apne website ko customize karne ka full control aapke pas hota hai,uska data ka dull access apke pas rehta hai.
  • Aap apne blog ka design change Kar  sakte hai aur iske Liye AAP free ya fir premium dono tarah ki theme see me koi bhi use Kar sakte hai.
  • Isme AAP free ya paid dono tarah ke plugin use Kar sakte hai.
  • AAP apne blog website par advertise show Kar ke isse paise bhi Kama sakte hai aur ye pura ka Pura Paisa aapka apna hota hai.
  • Isme AAP e-commerce website bhi bna sakte hai jis par par koi product ya fir ebook, course etc sell Kar sakte hai.

Cons

  • Aapko website blog banne ke Liye domain aur hosting leni hoti hai jiske Liye aapko paise pay karna hota hai. AAP koi bhi website banayenege to ye Lena hi parta hai.
  • Apne blog ya website ki backup ki jimmedari aapki khud ki rehti hai.

WordPress.com

Pro’s

  • Is par blog bnane ke aapko koi paise nahi lagte hai ye bilkul free hota hai.
  • Yaha par aapko security ya backup ka koi tension nahi rehta hai.

Cons

  • Blog ka full control apna hath me nahi rehta hai.
  • Blog subdomain par banta hai Jo ki SEO ya earning ke Liye acha nahi hai.
  • Theme ya plugin install nahi Kar sakte hai.
  • AdSense ya media.net ke ads see paise nahi kama sakte hai.
  • Limited space milta hai.

WordPress.com vs WordPress.org Difference in Hindi

Guys agar blog banane ki soch rahe hai to aise me aapko WordPress.com aur WordPress.org me kya antar hai samajne ki bahut jayada jaruri hai tabhi aap blogging me apna behtar carrier bana sakte hai sath hi online income kar sakte hai. To chaliye aaye vistar me jante hai ki kya antar hai.

WordPress com vs WordPress org Kaun Best Hai ?

WordPress software Jo hai vo bilkul free hota hai aur isse koi bhi WordPress.org site se download aur use Kar sakta hai. Is software ka use Kar blog banane ke Liye hame isse web server(Hosting) par install karna hota hai.  

Domain aur Hosting:

Jab hum WordPress software ko download karte hai to iska use karne ke Liye hame apne khud ke hosting server pe install karna hota hai isliye isse self hosted wordpress blog bhi kaha jata hai.

Vahi WordPress.com par aap bilkul free me blog bnane sakte hai aur iske Liye aapko kisi hosting server ki jarurat nahi hoti hai par is par blog bnane see aapko kuch limited feature milta hai Jo ki ek blogger ke liye acha nahi hai.WordPress.org blog me aapko customizations ke Pura feature milta hai.

Cost:

WordPress.org software ka use Kar blog banane ke liye aapko domain aur hosting kharidna hota hai par WordPress.com par free me blog bana sakte hai jisme limited space milta hai.

Domain:

WordPress.com par free me site banane par subdomain par hi bana sakte hai vhi WordPress.org blog ko aap domain par bna sakte hai.

Space:

WordPress.com par free me blog bane wale user ko 3GB ka limited space hi milta hai par agar AAP self hosted WordPress blog bnaate hai space hosting plan par ke anusar hota hai.

Theme aur Plugin:

WordPress.com par business plan nahi lete hai to aap khud ka theme ya plugin install nahi Kar sakte par .org blog ke sath aisa nahi hai

Earning:

WordPress.com par free blog bana Kar Aap sirf affiliate program ya product review  se Paisa Kama sakte hai par WordPress.org blog se aap affiliate program, reviews, AdSense,media.net aur bhi Kai sare advertisment program se earning Kar sakte hai.

Controle/Access:

WordPress.com blog par aapka full control nhi hota hai yani ki aap khud se sab kuch customize nahi Kar sakte par WordPress.org blog par aapka full control hota hai ki aap sab kuch customize Kar sakte hai aur naye theme/ plugin bhi install Kar skate hai.

Conclusions

Agar AAP blogging ko long term ke Liye lekar chalna chahte hai yani ki agar aap isse carrier ke rup me dekhte hai to aapko WordPress.org ko chunana chahiye jisse ki apne blog par aapka Pura control ho aur sath hi earning ke source bhi jyada rahe.


पिछला लेखEmail Kaise Bhejte Hai ईमेल कैसे देखे
अगला लेखCancel Cheque क्या है यह क्यों और कैसे बनाये जाते हैं?
Verman Babu
वर्मन बाबू एक professional blogger है | ये Blogging, SEO, Affiliate Marketing, Make money online, Internet, BlogSpot, WordPress, Computer-related tips, How to guides, Email marketing, Social media, Tips, and tricks इत्यादि से रिलेटेड article लिखते है | नयी चीज़ के बारे में जानना सोचना और Blogging के द्वारा अपनी जानकारी सबके साथ शेयर करना इन्हें अच्छा लगता है |

उत्तर छोड़ दें

Please enter your comment!
Please enter your name here