WordPress Blog Kaise Banaye In Hindi

0

Aaj is post me ham janenage ki WordPress Blog Kaise Banaye.

Is post me step by step detail me janenge ki blog lo live kaise kiya jata hai.Naye blogger apne blogging carrier ki shuruat blogspot se hi karte hai , maine bhi sabse phle blogger pe hi blog bna kar kiya tha.

Jab aap blogging ko apne carrier point of view se plan karte hai to jarurat hoti chiso ko professional level pe le jaana. Jarurat hoti hai ek ache platform ki aur iske liye hame WordPress pe migrate hona chahiye.

WordPress Blog Ya Website Kaise Banaye Hindi Me

WordPress blog me hame additional feature jodne ki puri azaadi hoti hai aur iske jariye ham apne blog ko ek naye shire se le ke chal paate hai.

WordPress open source CMS (Content Management System) hai jiske help se aap apne liye free me blog bna sakte hai.

Blogger Par Free Website Ya blog Kaise Banaye

To aaye jante hai ki WordPress pe blog kaise bnaya jata hai(step by step).

WordPress Blog Banane Ke Liye Kya Jaruri Hai?

  1. Email id :  
  2. Domain:  
  3. Hosting :

1  Email id :  

Email id jisse aap domain aur hosting kahridenge aur wordpress admin ke taur pe use karenge.

  1. Domain:

Domain name aapke blog ka address hota hai. Jaise mere blog ka domain name hindiblog4u.in hai.

Domain ne,me ke bare me adhik jaankari ke liye aap is post ko padhe.

  1.  Hosting:

Jaise ki aapne post ka title padha tabhi samjh gaye honge blog ko hosting pe install karte hai. Hosting server vo place hai jha pe aapke blog ki file , database ,image etc store hoti hai.

Hosting aapke computer hard disk ke jaisa hai jaise aap apne computer me koi software install karte hai vaise hi hosting pe software install karna hota hai.

Hosting ki apni Disk space, RAM , bandwidth hoti hai jiski hosting package ke anusar limit set hoti hai.

WordpRess blog ko start karne ke liye shared Hosting sufficient hota hai.  Aaap

Agar aap ke paas domain nhi hai to aap Godaddy se domain purchase kar sakte hai. Hosting aap Godaddy ya fir kisi aur registrar se bhi kharid sakte hai.
Agar upar di gayi 3 chije apke pas ab maujud hai to aage badhte hai.

WordPress Blog Kaise Banaye?

Vaise to WordPress pe blog bnane ka process thora jyda lamba hai but mai aapko short section me divide kar ke bta rha hu taki aap asaani se samjh sake aur set up kar sake.

  1. Domain ko Hosting pe Point Karna (Yani domain ko hosting se jodna).
  2. Blog ke liye Database aur user create karna.
  3. WordPress setup file ko download karke apne Hosting server pe upload karna.
  4. WordPress Ko apne hosting server pe configure kare(Install Kare).

Aaye ab har section ko detail me jaante hai.

Note:

Ye tutorial ek beginner developer ke liye step by step guide hai. Agar aapko jayda technical idea nhi hai to sabse pahle aap 1st step complete kar le(Domain ko Hosting pe Point Karna) aur fir niche diye gaye link pe click kar direct wordpress blog ko hosting me jakar  install kar le(Step 2, 3 aur 4 ko skip kar de). Aapki blog easily setup ho jayegi.

Hosting Par WordPress Blog Kaise Install Kare.?

Section 1 : Domain ko Hosting pe Point Karna (Yani domain ko hosting se jodna).

Agar aap ne apni hosting aur domain dono alag alag regisrar se kharida hai to aapko ye process ko follow karna hota hai taki aapka domain aapke hosting server ko point kare.

Jaise ki aapne apni hosting BigRock se kharidi hai aur domain godaddy se to aapko apne domain ko hosting pe point karna hota hai jisse aapki domain aapke hosting ko reflect karne lagta hai.

Lagbhag sabhi registrar ke hosting aur domain ke option same rehte hai.

Yaha pe mai aapko Godaddy ki domain aur Bigrock ke hosting ke jariye process ko explain karne ja rha hu.

Step 1:

  1.  Apne Godaddy ke account me username likhe.
  2. Password likhe.
  3. Sign In par click kare.
Godaddy Login Panel

Step 2:

  1. Domain option pe jaye manage par click kare.
    Godaddy Manage Domain
  2. Jise Domain ko apne hosting pe point karna chahte hai uspe click kare.Godaddy Select Domain To Manage

Step 3:
Ab ek nya page khulega Jisme aapke domain ki nameserver dikhegi.Ab aapko apne domain ka nameserver change karna hota hai

  1.  Nameservers option pe jaye.
  2. Manage pe click kare.Godaddy Nameserver Manage
  3.  Ab ek Popup box open ho jayega.  Custom option ko chune.
  4. Add Enter custom nameservers »  pe click kare.Godaddy Custom Nameservers

Step 4 :
Aaapke samne ek nya popup open ho jayega. Ab aap ne jab hosting kharidi hai to uska ek mail aaya hoga usme se apna nameserver dekhe. Vha pe nameserver1 aur namserver2 likha hua milega.

  1. Ab apna  nameserver2 likhe.
  2. Ab nameserver1 likhe
  3.  Ab OK button pe click kare
    Godaddy Add Custom Nameservers
Godaddy Save Nameserver Settings

4.  Ab Save button pe click kare.

Ab aapka domain ke nameserver update ho chucki hai. Ab aapki domain aapke hosting ko reflect karegi.

Step 5:
Ab aap apne hosting kharidne pe jo mail aayi hai usme se cpanel ke link pe click kare.

  1. Username likhe.
  2. Password likhe
  3. Login pe click kare.
Login to cPanel


Step 6 :

  1. Domain section pe jaye.
  2. Ab Addon Domains option pe click kare
Addon Domain Start

Step 7:

Ek nya page khul jayega. Ab aapko domain ko apne hosting me add karna hai. Add on form ko bhare.

  1. Apne domain ka name likhe jise add karna hai.
  2. Subdomain automatically fill ho jayega.
  3. Document root me aapke website ke liye folder ban jayega(Domain ke naam se).
  4. Create an FTP box ko tick kare.
  5. FTP username likhe.
  6. Password daale.
  7. Password ko fir se likhe
    Agar aap strong password generate karna chahte hai to Password Generator button pe click kare.
  8. Strong Password Generate Karne ke steps:
    • Password Generator button pe click kare.
    • I have copied this password ke samne box ko tick kare.
    • Use Password button pe click kare.
    • Ab Password aur Password (Again) me automatically strong password fill ho jayega.
  9.  Add Domain Pe click kare.Addon Domain in cPanelAb domain successfully add hone pe niche diye gya message dikhega.

Domain jab successfully add ho jata hai tab aapko addon domain me aapke domain ka name dikhega jaise niche dikhya gya hai.

Ab 1st section complete ho chuka hai yani ki ab hmara domain hosting ke sath jud chuka hai. (Ab domain hamare hosting server ko us particular Document Root folder ko point karega)

Section 2:  Apne Blog ke liye Database aur user create karna.

Ab jarurat hoti apne blog ke liye database bnane ki jaha pe aapke blog ke post content,page content etc store hoti hai . Database ko access karne ke liye user create karna hota hai. Aur us user ko acess/priviledge dena hota hai taki vo database pe fixed kaam kar sakta hai.

Step 1:

  1. Ab cPanel me Database section pe jaye.
  2. MySQL® Database Wizard option pe click kare
  3. Ab ek nya page open hoga.Database cPanel MySQL Wizard

Step 2:
Database Create Kare

  1. Database ka name likhe.
  2. Next Step pe click kare.
Create a database

Step 3:

Database User create kare

  1. Username likhe.
  2. Password likhe.
  3. Password ko phir se likhe.
  4. Password ko copy kar ke rakh le.
  5. Create User pe click kare.
Create Database User

Step 4:

Ab User ko Database se jode.

  1. Ab user aur Database name ko copy kar ke rakh le.
  2. ALL PRIVILEGES ko tick kare.
  3. Next Step pe click kare
Add user to the database

Ab Database successfully create ho chuka hai.

Ab hamara section 2 yani ki Database aur user create karne ka process bhi complete ho chuka hai.

Section 3 : WordPress Setup File ko Download Karke Apne Hosting Server Pe Upload Karna.

Ab wordPress ki setup file ko download karna hoga. Download karne ke liye wordpress ke official website pe chalenge.

Step 1:

  1. WordPress.org ke website pe jaye. Website pe jane ke liye click kare. https://wordpress.org/download/
  2. Download WordPress button pe click kare (Ye aaprox 8Mb ki file hoti hai jaise ki dekh sakte hai).

    Ab setup file aapke system me download ho jayegi.
Download WordPress

Step 2:

  1. Ab aap apne Hosting cPanel me login kare aur Files section me jaye.
  2. File Manager option pe click kare.
    File Manager in cPanel
  3. Ab File Manage ki ek naya page open ho jayegi.
  4. Public_html pe double click kare.
    public html in cpanel
  5. Ab apne domain ke naam se bane folder pe double click kare.
    Domain Name Folder
  6. Upload button pe click kare.
Upload button in File Manager

Step 3:

Ab ek nya page khulega isme aapko wordpress ki setup file zip ko upload karna jisse aapne download kiya tha.

  1. Select File pe click kare.
    Select File in File Manager
  2. Apne wordpress setup file ko browse kar select kare.
  3. Ab aapki setup file server pe upload hone lagegi.
  4. 100% upload hone ke baad Go back link pe click kare aur file manager pe aaye.
    Uploadin WordPress setup file

Step 4:

  1. Reload pe click kare
  2. WordPress setup zip file pe click kar select kare.
  3. Extract button pe click kare.
    Extract zip file in file manager cPanel

Step 5:

  1. Ab ek popup khulega isme Extract File button pe click kare.
    Extract Files

Step 6:

  1. Ab aapki file extract ho jayegi.Extraction result dikhega.
  2. Close pe click kare
    Extract results
  3. Reload pe click kare.
  4. Ab ek wordpress ka folder bna milge ispe double click kar open kare.

Step 7:

  1. Select all ko tick kare.
  2. Move pe click kare.

Select WordPress Files

Step 8:

Ab ek nya popup open ho jayega.

  1. Ab file ke path me jo domain name ke baad wordpress likha aa raha usse delete kar de.
  2. Move File(s) pe click kare.
Move Files



Ab WordPress ki setup file ko extract kar hamne domain ke folder me move kar diya hai.
Note: Ab hamare domain ko access karne pe yhi file vaha pe work karegi.

Ab hamara section 3 bhi complete ho chuka hai. Yani ki Ab tak ham apne domain ko hosting se point kar diya, database aur user create kar diya aur wordpress ki set up file bhi server pe upload kar chuke hai.

Section 4: WordPress Ko apne hosting server pe configure kare(Install Kare).

Step 1:

Sabse pahle apne domain name ko browser address bar me access kare.

Step 2:

  1. Ab Language Select kare.
  2. Continue pe click kare.
    Set Language for WordPress Blog

Step 3:
Ab ek nya page open hoga jisme database create karne ke baare jaankari hogi . Database aur user hamne section 2 me create kar liya tha.

  1. Let’s go! Pe click kare.
WordPress Lets Go

Step 4:
Ab ek nya page open hoga isme database name, username aur password likhe jo copy kiya tha section 2 me.

  1. Database name paste kare (Section 2 me jo copy kar rkha hai)
  2. Username paste kare(’’)
  3. Password paste kare(’’)
  4. Hostname likhe(Generally hostname “localhost” hota hai . Agar aapke cpanel ke mail me host name kuch aur mention hai to vo de nhi to localhost hi likhe)
  5. Table prefix set kare ji naam se database ka table ka prefix bne.
  6. Submit pe click kare.
    Database Connection Configure in WordPress
  7. Ab Run the install pe click kare.
    Run Install WordPress

Step 5:
Ab WordPress install process run karne lagi.

  1. Site ka title likhe.
  2. Username likhe(Username ko secure bnaye alphanumeric character use kar. Iss username ka use kar aap apne blog ke admin me login kar paayenge)
  3. Password likhe (Strong password generate kare login karne ke liye)
  4. Apni email id likhe.
  5. Search engine visibility ko tick na kare.(Agar aap abhi chahte ki aapka blog search engine me na dikhe to tick kare)
  6. Install WordPress pe click kare.

Wordpress Run Install

Install WordPress button pe click karte hi aapki WordPress blog complete install ho jayegi aur aap direct admin me login ho jaoge.

wordpress admin

Ab WordPress blog live ho chuka hai domain pe.WordPress install karte samay jo aapne apni email id thi uspe WordPress site successfully setup ka ek email aa jayega.

New WordPress Site Mail

Ab domain name ko browser me access karne pe WordPress blog dikhegi.

Wordpress Blog Website

WordPress Blog Me Login Kaise Kare?

Aaap apne wordPress site me login karne ke liye apna domain name/wp-admin browser ke address bar me likhe aur access kare

Ex: mai apne blog ka admin access karne ke liye browser me http://hindiblog4u.in/wp-admin/ likh ke access karta hu.

Steps:

  1. domainname/wp-admin ko browser me access kare
  2. Username likhe (Jo installation ke samay likha tha section 4> step 5> II )
  3. Password likhe (Jo installation ke samay likha tha section 4> step 5> III).
  4. Agar dubara login ke time username password nhi likhna chahte hai to tick kare.
  5. Log in pe click kare.
     WordPress ke admin me login kar aap Dashboard access kar paate hai jha se blog ka post, page ,category ,sabhi setting ko manage kar paate hai.
Wordpress Admin Login Access

Conclusion:

Is blog me apne sikha ki WordPress blog kaise banaye ke bare me step by step. Ab aap asaani se WordPress par apna khud ka blog bana sakte hai.

Aapko hmara ye post kaise laga comment box me apana vichar jarur likhe. Is post juri hui agar aapke paas koi bhi sawal ho to aap hame comment box me likh sakte hai. 

पिछला लेखHosting Par WordPress Blog Kaise Install Kare
अगला लेखTumblr पर Free Blog कैसे बनाये
वर्मन बाबू एक professional blogger है | ये Blogging, SEO, Affiliate Marketing, Make money online, Internet, BlogSpot, WordPress, Computer-related tips, How to guides, Email marketing, Social media, Tips, and tricks इत्यादि से रिलेटेड article लिखते है | नयी चीज़ के बारे में जानना सोचना और Blogging के द्वारा अपनी जानकारी सबके साथ शेयर करना इन्हें अच्छा लगता है |

उत्तर छोड़ दें

Please enter your comment!
Please enter your name here