Top 6 Apps YouTubers Ke Liye

0

Duniya me sabse jyada use hone wala dusri website YouTube hai jo Google company ka hi ek subsidiaries hai.

Aaj ke is lekh hum ko batane ja rahe kuch aise android apps ke bare me jo YouTube video create karne ke liye use karte hai.

Agar aap bhi ek youtuber hai hai aur youtube creator banana chahte hai to is post ko dhyan se last tap padhe aaj yaha aap top 6 best Apps YouTubers Ke Liye ki jankari payenge.

Top 6 Best Apps for YouTubers

Pichle kai saalo me India me youtube viewers aur creator dono hi badhe hai khaaskar JIO ke aane ke baad se youtubers ke liye kafi achha raha. Jo youtubers 2 saal me subscriber pate vo unhone 3- 4 mahine me paa liya hoga. Best 6 app for youtubers ke bare me vistar me jante hai.

इसे भी पढ़े:

6 Best Apps For YouTubers

YouTube Creator Studio App

Yeh youtube ke dwara apne creator ke liye banaya gya official app hai. Har ek Creator ko ye app use karna chahiye isse kafi had tak aapka kaam asan ho jata hai.

Aap apne youtube channel ko is app ka use kar ke asani se mange kar sakte hai. Isse aap apne videos ko manage ka sakte hai, Comments padh sakte hai unka reply kar sakte hai iske alawa aap apna views aur watch time, income bhi dekh sakte hai.

Ye sara kaam aap is ek app se kar sakte hai isliye ye app har ek youtube creator ke liye best hai.

Google Keep

Is application ko Google company dwara banaya gya hai jiska use aap apne notes banane ke liye kar sakte hai. Ye bilkul free application hai. Youtube creator ke taur par aapke liye ye app bahut jaruri hai kyunki jab kabhi aap ke dimag me koi bhi idea ya topic aata hai to usse aap note kar sakte hai.

Sab se achhi baat ye hai ki aap isse kahi se kabhi apne gmail account ko computer me login kar access kar sakte hai.

FilmoraGo – Free Video Editor

Yek ek free video editor application hai jisse aap asaani se apne record kiye hue video ko edit kar sakte hai aur youtube ke liye video bana sakte hai.

Is application me koi time limit nahi hai sath hi ye aapke video par koi watermark nahi lagata hai aur free bhi hai. Creator ke liye yeh ek best video editor application hai.

Thumbnail Maker

Is application se aap apne youtube channel ke liye channel art aur banner bana sakte hai iske sath aap apne videos ke liye thumbnail bhi asani se bana sakte hai.

Videos ke liye thumbnail kitna jyada matter karta hai ye creator hone ke naate jante hi honge. Is app ka use kar aap apne videos ke liye attractive thumbnail bana sakte hai.

AZ Screen Recorder

YouTube creator hone ke karan kai baar hame apne mobile ka screen record karna parta hai aise me ye application aap ke is kaam ko asaani se kar dega. Is application ka use kar aap apne android phone ke screen ko asani se record kar video bana sakte hai. Yeh ek free application hai.

Adsense

Agar aap ek youtuber hai to adsense ke bare me jante hi honge. Yeh application google company dwara banaya gaya hai jisse aap asaani se apne channel ki earning check kar sakte, income ka report dekh sakte hai.

Video Banane Wala Apps

Dosto umeed hai ki best apps YouTubers ke liye ki jankari aapko achhi lagi hogi. Agar aapka koi sawal ya sujhav ho to comment kare. Agar apko ye jankari achhi lagi to share jarur kare.

पिछला लेखNOTA Kya Hai | नोटा विकल्प चुनने से क्या होगा
अगला लेखअब अपनी आवाज़ से करे अपने फ़ोन को कंट्रोल
Verman Babu
वर्मन बाबू एक professional blogger है | ये Blogging, SEO, Affiliate Marketing, Make money online, Internet, BlogSpot, WordPress, Computer-related tips, How to guides, Email marketing, Social media, Tips, and tricks इत्यादि से रिलेटेड article लिखते है | नयी चीज़ के बारे में जानना सोचना और Blogging के द्वारा अपनी जानकारी सबके साथ शेयर करना इन्हें अच्छा लगता है |

उत्तर छोड़ दें

Please enter your comment!
Please enter your name here