सोशल मीडिया पोस्ट करने के लिए Best Time 2022

2

Agar aap ek blogger ya YouTuber hai to aise me aap apne blog post ko social media par jarur share karte honge. Jyada tar blogger jab chahe apne post ke link social sites par share kar dete hai.

Kya aapne kabhi socha hai ki kya time hai jis samay aap agar social sites par post dalenge to jayda se jayda audience usse dekhenge aur aapke post ko jayda like comment aur share milega.

Agar aap social sites par sahi samay par post publish karte hai to aap jyada likes,comment share aur click hasil kar sakte hai.Is article me aap janenge best time to post on social media(social media par post karne ka sahi samay) ke bare me jisse aapko malum hoga ki kaun social sites par kis smay post karna chahiye.

The Best Times to Post on Social Media in 2018

Is article me aap ek ek kar ke janegene jaise ki best time to post on facebook, best time to post on twitter aur best time to post on instagram.

The Best Times to Post on Social Media in 2022

Is post me sabhi social sites par post karne ka best times ke bare me jante hai jisse website ya blog ke liye jayda click through pa sake.

LSI Keywords Kya Hai Iska Use Kar Traffic Kaise Boost Kare

The Best Time to Post on Facebook

Agar aap Monday, Wednesday,Thursday aur Friday ko Facebook par post karne chahte hai to uske liye jo sahi time hota hai vo hai 2PM aur 3PM. In sabhi dino me agar aap is time par facebook par post karte hai to aap jyada se jyada audience ko engage kar sakte hai. Iske alwa agar aap Saturday aur Sunday me post karna chahte hai to aap 12PM se 1PM me kare to kafi achha results aapko milega.

The Best Time to Post on Twitter

Agar aap twitter par tweet karne ja rahe to yaha par best time to post on twitter facebook se alag hai. Monday se Friday tak me agar aap tweet karna chahte hai to aap 1PM to 3PM me kare par jyda koshish kare 3PM me karne to aapko better results milega. Yani ki best time to post on twitter jo vo hai 3PM (monday to friday). Sunday ko tweet kam rank karta hai isliye sunday tweet karne se ho sakta hai aapko utna acha results na mile.

The Best Time to Post on LinkedIn

Linkedin par agar post share karne ki soch rahe to iska time facebook aur Twitter se bilkul alag hai. Best time to post on linkedin jo hai vo Wednesday ko 3 PM to 5 PM hai.  Iske alawa aap Monday to Thursday me 7 AM se 10 AM ke samay me post kar jyada audience ko engage kar sakte hai.

The Best Time to Post on Instagram

Agar aap Instagram par post kar jyada audience ko engage karna chahte hai to iska samay baki sabhi social sites se alag hai. Best to post on Instagram jo hai vo Monday se Friday hai jisme 12 PM se 1 PM ke samay hai. Is din me aur is samay par post kar jayda audience ko target kar sakte hai.

To is article me maine best time to post on social media aap sabhi ke sath share kiya hai jo bahut hi research karne ke baad aapko de paya hu. Umeed hai ki is time ko follow kar aap jyada audience ko apne post par engage kar payenge. Agar aapko di gayi jankari acha laga to share jarur kare.

पिछला लेखSEO Kya Hai Aur SEO Kaise Karte Hai?
अगला लेखSitelinks क्या हैं और Sitelinks सर्च रिजल्ट में कैसे दिखाये
Verman Babu
वर्मन बाबू एक professional blogger है | ये Blogging, SEO, Affiliate Marketing, Make money online, Internet, BlogSpot, WordPress, Computer-related tips, How to guides, Email marketing, Social media, Tips, and tricks इत्यादि से रिलेटेड article लिखते है | नयी चीज़ के बारे में जानना सोचना और Blogging के द्वारा अपनी जानकारी सबके साथ शेयर करना इन्हें अच्छा लगता है |

2 टिप्पणियाँ

उत्तर छोड़ दें

Please enter your comment!
Please enter your name here