Email Kaise Bhejte Hai ईमेल कैसे देखे

2

Aaj ke is blog post me hum apko batane ja rahe hai ki Email Kaise bhejte hai.

Aaj ke samay me agar aap kisi achhi naukri ki talash karte hai ya fir kisi company me interview dene ki to aise me apko dcouments bhejne(yani ki email bhejne) ki jarurat parti hi hai.

Agar aap kisi company me kaam karte hai aur aap ko koi proposal bhejna hai ya fir leave lena hai ya fir increment ke liye baat karna hai har kaam ke liye email bhejne ki jarurat hoti hai.

Bahut sare aise log hai Jo mobile ya computer me internet use kar lete hai par unhe ye nahi pata hota ki mail kaise bhejte hai. Aaj ke is lekh ma aap step by step janenge ki email kaise bhejte hai yani ki how to send an email in Hindi.

यह भी पढ़े:

Email bhejne yani ki send karne ke Liye apke paas email account ka hona jaruri hai. AAP Gmail,Yahoo,rediff ya fir Outlook kisi bhi website par jakar apna email account bana sakte hai.

Agar apke pas email account nahi hai to aap hisabse pehle email account bna lijiy kyunki Bina email account AAP email nahi bhej sakte hai.

Agar aapko nahi pata ki email account kaise bnaate to aap is article ko padhe Gmail par email account kaise bnaye.

Email Bhejne Ke Liye Kya Chahiye

  1. Aapke paas khud ka email account hona chahiye.
  2. Jisse email bhejna chahte hai us vyakti ya company ka email I’d hona chahiye.
  3. Aapke paas computer ,laptop ya mobile hona chahiye jisme internet connection ho.

To yaha par hum email bhejne ke liye Gmail account ka use Karke apko Batayenge yadi aap ke pas kisi aur company/website ka email account hai to usme bhi email bhejne ka tarika bilkul ek jaisa hi rehta hai.

Email Kaise Bhejte Hai.

Step 1.

Sabse pahle apne computer laptop me gmail.com site open Kare aur email I’d aur password se login Kare.

Step 2.

Login karne ke baad Gmail account ke baye side me diye Gaye Compose button par click Kare.

Compose an email to send.

Step 3.

Ab ek new form khulega jisse bharna hita hai. Isme àpko I’d dalni hai, subject aur message likhna hai.

1. To:

Isme aap us vyakti ka email id like jisse aap email bhejna chahte hai.

2. Subject:

Aap mail kyun bhej rahe hai yani mail kis bare me hai vo likhna hota hai. Aap chahte to isse Khali bhi chhor sakte hai par likhenege to Jo apka mail payega vo asaani se samaj payega ki apka mail kis bare me hai.

3. Message:

Ab aap email me Jo message bhejna chahte hai vo likhe.

4. Attachments:

Agar aap email me koi documents (jaise resume, photos ya videos)  bhejna chahte hai to message box ke niche diye gaye attachment button par click kar file select Kar sakte hai.

5. Send

Ap email Puri tarah see likh lene Ab email bhejne ke liye Send button par click Kare.

Email Kaise Bhejte Hai.

मोबाइल से ईमेल कैसे भेजे

Mobile se email bhejne ka bhi tarika bhi computer ke jaise hi hota hai. Agar mobile se email bhejna chahte hai to apke pas smartphone hona chahiye jaise ki android phone ya iphone.

To aaye jante hai ki mobile phone se email kaise bhejte hai.

Sabse pehle apke mobile me Gmail application install honi chahiye. Vaise aaj kal sabhi smartphone me gmail app pehle se hi install rehta hai.

Step 1.
Aise me agar abhi tak aapne apne gmail app me login nahi kiya hai to pehli bar aapko login kara hota hai. Apne gmail id aur password se login kar le.

Step 2.
Login karne ke baad apke samne ek new screen open hoga. Yaha par pen icon par click kare.

Step 3.
Ab compose ka form open ho jayega jisme apko email ki detail likhni hai.

  1. From vikalp me apko kuch nahi karna hota yaha par khud hi apki email id aa jayegi jisse aap email bhejna chahte hai.
  2. To me us vyakti ka email id likhe jisse aap email bhejna chahte hai.
  3. Subject yaha par aap kis kaam ke liye email bhej rahe hai hai vo visay likhe.
  4. Message me aap jis kaam ke liye bhej rahe hai vo message detail me likhe.
  5. Yadi aap email ke sath koi attachment(pdf,doc) file bhejna chahte to yaha click kar phone se select kare.
  6. Email bhejne se pehle sabhi jankari ek baar check kare. Ab Email bhejne ke liye is button par touch kare. Ab aapki email us vyakti ko chali jayegi jiska email id apne To me likha tha.
मोबाइल से ईमेल कैसे भेजे

ईमेल कैसे देखे | ईमेल कैसे प्राप्त करे | ईमेल चेक करना है

Email dekhne ke liye ya fir check karne ke liye Compose ke niche diye gaye Inbox option par click kare. Agar apko kisi ne email bheja hoga to vo inbox par click karte hi dikh jayega.

Ab apki email us vyakti ko chali jayegi jiska I’d apne to me likha hai. Upar bataye gaye tarike ko follow Kar aap kisi ko hi asani see email bhej sakte hai.

Email bhejne see jura koi sawal ya sujhav ho to comment kar bataye.


पिछला लेखAffiliate Marketing Kya Hai Aur Isse Paise Kaise Kamaye
अगला लेखWordPress.com vs WordPress.org Kaun Badhiya Hai
Verman Babu
वर्मन बाबू एक professional blogger है | ये Blogging, SEO, Affiliate Marketing, Make money online, Internet, BlogSpot, WordPress, Computer-related tips, How to guides, Email marketing, Social media, Tips, and tricks इत्यादि से रिलेटेड article लिखते है | नयी चीज़ के बारे में जानना सोचना और Blogging के द्वारा अपनी जानकारी सबके साथ शेयर करना इन्हें अच्छा लगता है |

2 टिप्पणियाँ

उत्तर छोड़ दें

Please enter your comment!
Please enter your name here