WhatsApp 2 Step Verification Enable Kaise Kare

0

Sabhi social media ki tarah wahtsapp ne bhi Two Factor Authentication(2FA) ya fir kahe 2 Step verification feature apne user ke liye de diya hua hai.

Agar aap apne WhatsApp account ko jyda surakshit rakhna chahte hai to aapke liye whatsapp dwara diya gya yeh feature bahut hi jyada asaan aur surakshit hai jiska istemal aap kar sakte hai.

Aaj ke is lekh me Whatsapp Two Step Verification Enable Kaise Kare ke bare janenge.

Whatsapp Me 2 Step Verification Enable Kaise Kare

Yeh WhatsApp dwara diya gya feature optional hai aap chahe to use chalu bhi kar sakte hai ya fir nahi bhi lekin agar aap apne Whatsapp account ko surakshit rakhna chahte hai to aise me is feature ko aap chalu kar ke rakhe.

Aaj is post me aapko step by step janenge ko milega ki WhatsApp 2 step verification kaise chalu kare ke bare me jisse aap asaani se apne WhatsApp account ko surakshit kar payenge.

Chaliye jante hai WhatsApp 2 step verification kya hai aur isse kaise lagate hai.

Two Step Verification WhatsApp Meaning(Two Step Verification WhatsApp Ka Kya Matlab Hai)

Two step verification whatsapp ek vaikalpik(optional) feature hai jiska istemal kar aap apne WhatsApp account par jyada surakh laga sakte hai. Is feature ka chahe to istemal kar bhi sakte hai ya nahi bhi ye aap ke upar hai. Is featue ka istemal kar aap apne WhatsApp account ko jyda surakshit kar payenge.

Jab aap Two step verification ko enable kar lete hai to kabhi WhatsApp par phone number verify karte samay aap se 6 digit ka PIN daalne ko kaha jata hai jo aap is feature ko activate karte samay banaye hote hai jisse yeh aapke WhatsApp account ko surakshit rakh sake.

फेसबुक में Two Factor ऑथेंटिकेशन कैसे करें ?

WhatsApp Me Two Step Verification Enable Kaise Kare

Steps To Activate WhatsApp Two Step Verification

  1. Aapko whatsapp two step verification chalu karne ke liye sabse pahle apne mobile me whatsapp ko open karna hai.
  2. Ab upar diye gaye 3 dot icon par click kare fir setting par click kare.
  3. Ab Account option par click kare.
    Ab Account option par click kare
  4. Ab yaha par aapko Two-step verification likha milega is par click kare.
    Ab yaha par aapko Two-step verification likha milega is par click kare.
  5. Ab ek new screen hoga yaha par aapko ENABLE is button par click kare.

  6. Ab fir se ek new screen open hoga yaha par aap 6 digit ka koi PIN dale aur Next button par click kare

  7. Ab fr se usi PIN ko dale confirm karne ke liye aur NEXT par click kare.

  8. Ab ek new screen open hoga yaha par apni email id likhe aur NEXT button par click kare.

  9. Ab fir se apni usi email id ko likhe confirm karne ke liye aur SAVE button par click kare.

  10. Ab aapke WhatsApp me Two step verification enable ho gayi hai.

Ab aapke WhatsApp account me Two step verification enable ho gya hai. WhatsApp me Two step verification enable hone ke baad se jab aap WhatsApp open karnege to aap se 6 ditgit PIN daalne ko verify karne ko mangega abb aapko us 6 digit PIN ko daal kar verify karna hai jisse aapne set kiya hai is feature ko enable karte samay(yani ki 6 number step me).

Aap jab chahe WhatsApp two step verification ko disable kar sakte hai ya fir PIN ya Email id change kar sakte hai.  Aisa karne ke liye aapko 3 dot icon >> Setting >> Account Settings >> Two Step verification par click karna hai jaise hi aap click karenge to aapko yaha 3 option milenge Disable, Change PIN, Change Email Account isme se jo kaam aap karna chahte hai vo kar sakte hai.

पिछला लेखTop 7 Photo Banane Wala Apps Android User Ke Liye
अगला लेखMasterCard Rupay Card Aur Visa Card क्या है इनमे क्या अन्तर है
वर्मन बाबू एक professional blogger है | ये Blogging, SEO, Affiliate Marketing, Make money online, Internet, BlogSpot, WordPress, Computer-related tips, How to guides, Email marketing, Social media, Tips, and tricks इत्यादि से रिलेटेड article लिखते है | नयी चीज़ के बारे में जानना सोचना और Blogging के द्वारा अपनी जानकारी सबके साथ शेयर करना इन्हें अच्छा लगता है |

उत्तर छोड़ दें

Please enter your comment!
Please enter your name here