Truecaller Kya Hai | Truecaller kya hai in Hindi

0

Truecaller ek aise application hai jo aaj puri duniya me use ho raha hai. Aapke mobile par dinbhar bahut se logo ke phone aate honge usme kuch number hota hai jinhe aap jante hai aur bahut se aise hote hai jo bilkul unknown hota hai yani ki vo aapke phone ke contacts me save nahi rehta hai.

Jab kabhi kisi anjaan mobile(unknown) number se apke mobile pe call aati hai to aap yeh chahte hai ki vo mobile number kis ke naam se hai aur uska location kya hai vo malum kar sake aur iske liye aaj ke samay me sabse asaan sa upay hai Truecaller.

Truecaller ek aise application hai jisse aap apne mobile me install karke kisi bhi unknown number se aaye call ki jankari le sakti hai jaise ki vo number kis ke naam se hai aur uska location kya hai.

Agar aapke pas mobile phone nahi hai to aap apne computer me bhi iska use kar sakte hai yani ki iss app ka web aur smartphone dono me use kiya ja sakta hai.

Truecaller Kya Hai

Asaan shabdo me:   

Truecaller App anjaan number se aaye call jo hamare phonebook me nahi hai unke naam aur pata ki jankari deta hai.

Aaj ke samay lagbhag har smartphone user ke mobile me Truecaller app install rehta hai.

Agar abhi tak aapne iss app ko install nahi kiya hai to mai sugest karunga ki aap isse install kare.  Iss app se na keval unknown number caller ka naam jan sakte hai balki isse alawa aur bhi bahut si jankariya le sakte hai aur jarurat hone par call block bhi kar sakte hai.

Truecaller application True Software Scandinavia AB company ke dwara 2009 me develop kiya gaya tha.

Truecallers banane ke sabse bada main udesh hai ki globally pure world ka phone number  isme maujud rahe jis ki madad se aane wale unkown caller ke bare me jan sake jo hamre mobile phone ke contacts me save nahi rehte hai aur iske sath hi call-blocking features ka benfit le sake.

Aaj puri duniya me call identification ke liye sabse jyada Truecaller ka use ho rha hai. Aaj iska upyog lagbhag  250 million users ke dwara puri duniya me ki ja rahi hai.

Truecaller Ke Features Kya Hai ?

Abhi tak apne ye jana hai ki Truecaller kya hai aur isse kyun use karna chahiye. Ab hum janenge ki Truecaller app ke features kya kya hai.

Truecaller ke features list kuch is prakar se hai.

  • Call ko block kar sakte hai. –  Agar kabhi lagta hai ki koi anjaaan number se aapko bar bar pareshan kar raha hai to aap usse block kar sakte hai.

  • Bina Internet ke Jaane Kaun Call kar raha hai – Jaruri nahi hai ki hamesha data connection aapke phone me active rehna chahiye. Ek baar kisi number ka pehchan ho jane ke baad agli bar se ye caller ki jankari aapko de dega.

  • Smart call history : Jab kisi anjaan number se aapke phone par call aata hai to truecaller us number ko profile pic aur uske real name me badal kar dikhata hai.

  • Spammers se khud ko bacha sakte hai – Jab aapke number par call aati hai to aap dekh sakte hai ki usse kis ne spam mark kiya hua ya nahi. Agar aap ko sahi nahi lagta hai to aap call nahi le kar apna kimti samay bacha sakte hai.

  • Search box se anjaan number ka pata laga sakte hai  – Truecaller app ya iski website pe ek search box diye rehta hai jisme aap kisi naam ya uska mobile number se uske naam aur location ki jankari paa sakte hai.

  • Khud ka profile bnana – aap truecaller website ya app ka use kar ispe apne mobile number se profile bana sakte hai. Aap is par apna profile picture bhi laga sakte hai.

  • Truecaller se number ko hatana : Aap Truecaller ke database se apne number ko hata bhi sakte hai. Truecaller aapko number hatane ka feature deta hai.

Dosto truecaller ke features ke baare me jankar abhi tak aap ye samajh gaye honge ki Truecaller app smartphone ke liya kitna jyada jaruri hai.

यह भी पढ़े:

Truecaller Me Anjaan Number Ka Naam aur Location Kaise Dekhe?

Upar apne padha ki agar kisi anjaan number se pahle baar apke mobile phone par call aata hai aur apke data connectivity chalu hai to apko uska naam apne aap dikhai deta hai. Aur aage se internet disconnect hone par bhi us number se call aane par vahi naam dikhta hai.

Agar aap speciallly kisi anjaan number ke user ka naam aur location pata karna chate hai t o niche diye gaye steps ko follow kare.

  1. Sabse pehle aap Truecaller app open kare.
  2. Ab aap login kare. Aap gmail id se direct login ho sakte hai.
  3. Ab aapko search box me aapko us anjaan number ko likhna hai jiske details aap pana chahte hai.
  4. Search icon par click kare.
  5. Ab aapke samne us number ki details aa jayegi. Jaise ki vo mobile number kaun se operator ka hai , kis ke naam se hai aur uska location kya hai.

Umeed karta hu ki upar di gay jankari se aap ab tak jaan chuke honge ki Truecaller kya hai hindi me aur isko kyun use kiya jata hai. Agar aapke is jankari se juda koi sawal ya sujhav ho to aap comment kare.

पिछला लेखBlog Ke Liye Google Analytics Account Kaise Banaye
अगला लेखबैंक खाते से आधार लिंक है या नहीं कैसे पता करे
Verman Babu
वर्मन बाबू एक professional blogger है | ये Blogging, SEO, Affiliate Marketing, Make money online, Internet, BlogSpot, WordPress, Computer-related tips, How to guides, Email marketing, Social media, Tips, and tricks इत्यादि से रिलेटेड article लिखते है | नयी चीज़ के बारे में जानना सोचना और Blogging के द्वारा अपनी जानकारी सबके साथ शेयर करना इन्हें अच्छा लगता है |

उत्तर छोड़ दें

Please enter your comment!
Please enter your name here