7 Best WordPress Blog Themes 2022

0

Guys agar aap blogging ko caarier ke taur par dekh rahe to WordPress sabse best blogging platform hai jo aapke carrier ko ek nayi uchai par le ja sakta hai.

WordPress blogging ke liye sabse best platform hai aur duniya me sabse jyada blogger isi ko use karte hai. To sabse pahle ye jante hai ki WordPress kya hai.

7 Best WordPress Blog Themes 2018

WordPress Kya Hai ?

WordPress ek online website banane ke liye tool jo PHP programming language me bani hai. WordPress ek free software hai jiska use kar ke aap acha website ya blog bana sakte hai.WordPress ko Content Management Systems (CMS) kaha jata hai.

WordPress par blog ya website banane ke liye aapko theme ki jarurat hoti hai. Theme yani ki file ka collection jo blog ke frontend design banta hai. Jaisa aap apne blog ka design chahte hai us tarah ki theme ka use aap kar sakte hai.

To chaliye ab aapko batate hai best WordPress theme for hindi blogging ke bare me jiska use kar aap apne blog ko achha design kar sakte hai. Yha par jitne theme
ke bare me batane ja raha hun wo sabhi WordPress blog Ke liye best theme manne jate hai.

Theme chunte samay aapko kuch baato par jarur dhyan deni chahiye. Agar aap theme select karna chahte hai to in niche diye gaye baaton ko jarur follow kare .

Premium WordPress Blog Theme Kharidte Samay Dhyan Dene Yogya 7 Baatein

Price : Jab hum koi bhi samaan kharidne ki sochte hai to sabse pahle dhyan price par jata hai.

Kyunki hamesha hum apne budget ke anusar samaan dundhte hai. Theme sell karne ke liye bahut sari site maujud hai aise me aap rate compare kare ki aapko kaun si site par kam price theme available hai.

Last update: Yani ki theme last time kab update hui hai kyunki jayada purana update hai to aap us theme ko na chune kyunki wordpress hmesha update hoti rehti hai aise me vo theme bahut se feature ko support nahi kar pati hai.

Theme loading speed: agar website ki loading speed slow hogi to koi bhi website ko open kar band kar dega load hone ka intezaar nahi karega kyunki duniya me lakho website hai to aise me aap usi theme ko chune jiski loading time fast ho. Vo theme achhi mani jati hai jo kam time load hoti hai.

Rating: Bahut sare theme sell karne wali site jo rating system add ki hai jiske jariye unke customer product ko rating dete hai jisse dekh kar aap asaani se product quality ka pata laga sakte hai.

Support: Jab aap premium theme kharidne ki sochte hai to aise me aapko ye baat jarur janana chahiye ki Premium theme ke sath support milta hai . alag alag company ke apne anusar support duration hote hai jaise koi 6 mahine ka to koi 1 saal ka support provide karti hai. To theme kharidne se pahle support ke bare me jarur check kare.

Documentation: Jab aap ek premium theme kharidte hai to uske sath documentation bhi milta hai jiski madad se aap use install and configure kar pate hai.

Demo : Upar diye gaye sabhi condition aapne check kar liye aur aapko theme sahi lagi to aise ma aapko theme ka demo check karna chahiye isse aapko idea ho jayega aapka theme kaise hoga aur kaise kaam karega.

Responsive: Aaj ke samay jayada tar log website ya blog ko mobile or tab par open karte hai. Aise me agar aap theme lete hai to aapko responsive theme hi lena chahiye jo sabhi device par same kaam kare aur user ko access karne me pareshani na aaye.

WordPress Blog Ke Liye 7 Best WordPress Theme 2022

Newspaper

Newspaper wordpress ek best premium theme hai aur aaj ke samay bahut jayda use ho rha hai. Is theme ka use karte hai aap ko admin me bahut sare additional features aad ho jate hai jinka use kar aap apne wordpress blog ka layout apne anusar design kar pate hai. Is theme ka desing kafi acha hai aur sath hi loading speed bhi achhi hai jisse karnan se theme ki selling bahut jayada hai.

Newspaper WordPress Theme

अभी खरीदें

Cheersup

Aaj ke samay me ye bahut popular aur mere anusaar best buget premium magazine theme hai jisse aap apne blogging ke liye use kar sakte hai. Isme aapko 11 se jyda desing mil jate hai apne blog ke liye. Iske sath theme ki loading speed bahut hi fast hai jo user experience ke liye kafi acha hai.

Cheersup WordPress Magzine Theme

अभी खरीदें

Beginner

Beginner theme ek light weight or bahut clean theme hai jo aapke blog ke liye bahut sahi hai. Kam paise me ye ek bahut hi achhi WordPress blog theme hai jisse kharidkar aap apne blog ko acha bana sakte hai. Isme theme customising option diya gaya hai jiska use kar aap apne blog ka design customize kar sakte hai. Iske awala coupon publishing tool diya gaya hai jisse aap apne blog par affiliate coupon bhi publish kar sakte hai. Newsletter header form aur colour selection skins feature is blog theme ko aur achha banati hai.

Beginner

Genesis

Genesis framework theme ek bahut hi popular aur bahut hi lightweight theme hai. Yeh ek SEO optimized theme hai aur iske sath hi aur bhi anya features hai jo isse powerful theme banata hai. Theme option ka use kar ke aap is theme ko easily customize kar pate hai. Custom page template ka use kar aap apne homepage ya blog page ka design asaani se change kar pate hai.yeh ek mobile responsive theme hai jisse blog reader mobile par asaani se open kar padh sakta hai.

genesis theme

Publisher

Publishee ek magazine theme jiska design kafi acha hai sathi loading speed bhi acha hai. Is theme ke 42 se bhi jayda style maujud jiska use aap single click kar install kar ke kar sakte hai.Ye kafi customizable theme hai yani ki chahe baat homepage ki ho ya fir blog page ki aap apne wordpress blog ke design bahut achhe se customize kar sakte hai .

Magazine Pro

Magzine Pro theme ek bahut hi popular aur bahut hi lightweight theme hai. features hai jo isse powerful theme banata hai. Theme option ka use kar ke aap is theme ko easily customize kar pate hai. Custom page template ka use kar aap apne homepage ya blog page ka design asaani se change kar pate hai.yeh ek mobile responsive theme hai jisse blog reader mobile par asaani se open kar padh sakta hai.

News Portal

News portal ek freemium wordpress blog theme hai jiska matlab ye hai ki iska ek simple version free hai jiska use aap free me kar sakte hai lekin iske ander limited feature rehte hai. Agar aap iska premium theme purchase karte hai to aapko iske sabhi features ka use kar paate hai. Is theme aapko multiple layout mil jate hai sath hi live customize option milta hai. Ye ek SEO friendly theme hai sath fully responsive bhi hai.

Umeed karta hun ki aapko premium wordpress blog themes kafi pasand aaya hoga aur is article ko padhne ke baad aap apne liye blog theme asaani se decide kar payenge. Agar aapka koi bhi sawal ya sujav ho to aap comment kar bataye.

पिछला लेखबोल्ड, इटालिक्स, या स्ट्राइकथ्रू में यूट्यूब टिप्पणियां कैसे लिखें
अगला लेखRaksha Bandhan क्या है ? रक्षाबंधन क्यों मनाया जाता है ? रक्षा बंधन 2022
Verman Babu
वर्मन बाबू एक professional blogger है | ये Blogging, SEO, Affiliate Marketing, Make money online, Internet, BlogSpot, WordPress, Computer-related tips, How to guides, Email marketing, Social media, Tips, and tricks इत्यादि से रिलेटेड article लिखते है | नयी चीज़ के बारे में जानना सोचना और Blogging के द्वारा अपनी जानकारी सबके साथ शेयर करना इन्हें अच्छा लगता है |

उत्तर छोड़ दें

Please enter your comment!
Please enter your name here