Reliance Jio Apps Ki Jankari

0

Waqt ke sath sath technology me bhi bahut adhik badlav hua hai. 4G network ke aane ke baad se India me Internet user ke liye bahar aa chuki hai. Reliance JIO apne customer ke liye itni achhi offer de rahi ki logo ne dusre network ko use karna bahut kam kar diya hai. Ye baat kehna galat nahi hoga ki JIO ke aane ke baad se log digital shabd se parichit hue hai aur kafi teji se jude hai.

Aaj har koi JIO shabd se awgat hai. Aksar jio user sochte hai ki company ne ek hi offer diya hai ki aap net ki recharge karao aur free me bate karo lekin aisa nahi hai JIO ke bahut se free offers maujud hai jinka aap labh utha sakte hai. Internet use aur calling ke alawa JIO ne apne user ke liye bahut sare apps bna rakha hai agar aap ek JIO sim user hai to inka use kar ke aap fayda utha sakte hai.

Reliance Jio Apps Ki Jankari

Aaj hum aapko bata rahe ki JIO ke kaun kaun se apps hai aur inka use aap kin kaamo me kar sakte hai.

 

Jio Apps List

 

MyJio

Is jio app ko install kar aap apne account ki detail information le sakte hai. MyJio app aapko apne mobile number ki account balance, validity, voice aur data use ki jankari deta hai. Is app ka use kar ke aap apne JIO

 

JioChat
JioChat app ka use kar ke aap apne friends aur family members ko messaging kar sakte hai iske sath video call and voice calling bhi kar sakte hai. JioChat app ka use aap apne daily communication ke liye use kar sakte hai.

 

JioTV

Lagbhag sabhi jio user JioTV app ko jante hi honge fir bhi mai bata du is app se aap lagbhag sabhi ache TV channel apne mobile par dekh sakte hai  . is par lagbhag sabhi serial,sports,regional aur movies ke channel aate hai.

 

JioCinema

Is app ka use aap se aap apna favourite TV shows, videos lagbhag sabhi regional language me dekh sakte hai.

 

JioMusic

Jiomusic app se aap apne favourite gaana sun sakte hai. Is par old aur new har tarah ke song collection aata hai jisse aap music enjoy kar sakte hai sath hi download bhi kar sakte hai.

 

JioMags

JioMags app ko install kar aap apne mobile me popular aur premium magazine padh sakte hai. Ye aapko magazine ke different collection deta hai.

JioXpressNews

Is aap se aap national news, india ke top stories aur latest news 10 se bhi jyada bhasa me padh sakte hai.

 

JioCloud

Dosto jiocloud app ka use kar aap apne photo,video aur favourite music etc ko cloud storage par upload kar ke rakh sakte hai aur isse kahi se aur kabhi bhi use kar sakte hai. Jio id aur password ka use kar aap koi bhi JioCloud par upload kar sakte hai.

 

jio4GVoice

Agar aap ek JIO user hai to is app ka use kar aap apne 4g phone me VOLTE aur RCS feature add kar sakte hai.

 

JioMoney

Is app ko install kar aap apne digital wallet bana sakte hai aur usse aap kahi bhi digital payment kar sakte hai.Is app ka use kar aap online bill pay, money transfer to account asaani se kar sakte hai.

 

JioSecurity

Is app ko install kar aap apne mobile phone par antivirus enable kar pate hai sath hi aap apne data ko secure kar sakte hai. Aap is app se phone lost hone par uski location ka pata bhi kar sakte hai.

 

JioNewsPaper

Aapko naam se kafi had tak pata chal gaya hoga ki ye newspaper ki app hai. Is install kar aap national aur regional newspaper 10 se bhi jyada language me padh sakte hai.

 

JioNet

Is app ka use kar aap apne mobile phone par Reliance JIO ki hotspot create kar sakte hai. Hotspot bna kar aap apne laptop, other smartphone par 4G internet speed ka banefit le sakte hai.

 

jioHealthClub

JioHealthClub app se aap medical test, doctor appointment aur consultant asaani se book kar sakte hai.

 

Umeed karta hu ki upar btayi gayi Jio apps ki jankari aap ko pasand aayi hogi. Agar Jio app se juda koi sawal ya sujhaw ho to hume comment kar ke bataye.

 

पिछला लेखZIP Aur RAR File में पासवर्ड कैसे लगाये
अगला लेखInstagram Se Paise Kaise Kamaye 2022
Verman Babu
वर्मन बाबू एक professional blogger है | ये Blogging, SEO, Affiliate Marketing, Make money online, Internet, BlogSpot, WordPress, Computer-related tips, How to guides, Email marketing, Social media, Tips, and tricks इत्यादि से रिलेटेड article लिखते है | नयी चीज़ के बारे में जानना सोचना और Blogging के द्वारा अपनी जानकारी सबके साथ शेयर करना इन्हें अच्छा लगता है |

उत्तर छोड़ दें

Please enter your comment!
Please enter your name here