IFSC Code क्या है और कैसे पता करे

0

Dosto aaj ke is article me hum apko IFSC code ke bare me puri jankari dene wale hai. Aap me se bahut se aise log hai jine nahi pata ki IFSC code kya hai aur IFSC code kaise pata kare.

Agar aap kisi ke bank account me paise transfer karna chahte hai to apko uske bank account no ke alawa uske bank branch ka IFSC code ki jankari honi chahiye.

Ab aap soch rahe honge ki ye आईएफएससी कोड क्या है to chaliye sabse pehle apko IFSC code ke bare me batate hai.

IFSC Code Kya Hai ?

IFSC ka full form Indian Financial System Code hota hai  jo 11 digit-character ka hota hai. Ye character ya code RBI ke dwara sabhi bank branch ko diya gya hai jo ki bilkul unique hota hai. NEFT and RTGS ke process se online money transfer karne ke liye aapko is code ki jarurat hoti hai. IFSC code alpha numeric hota hai yani ki alphabetical(a-z) aur numeric(0-9) ka combination hota hai,

IFSC code me jyada tar is pattern par hai pehla 4 characters bank code rehta hai 5va character 0 hota hai aur last ka 6 character branch code hota hai.

 IFSC Code Kaise Pata Kare

NEFT (National Electronic Funds Transfer)

Ye ek nation wide payment system hai jiske madhyam se koi person apne account(kisi bhi bank branch) se kisi aur account(kisi bhi other bank branch)  me paisa transfer kar skata hai iske liye dono bank branch ke pass NEFT suvidha honi chahiye . NEFT system ke jariye paisa transfer karne me kuch samay lagta hai.

RTGS (Real Time Gross Settlement)

RTGS ke naam se aapko pata chal raha hoga ki e real time based hota hai. Ye bhi system ek account se kisi bhi dusre account me paisa transfer ke karne ke liye hota hai lekin isme jaise se hi aap transfer request karte hai ye usi time ho jata hai. RTGS fast aur turant paisa transfer karne ki suvidha deta hai.

स्विफ्ट कोड क्या है और अपनी बैंक का स्विफ्ट कोड कैसे पता करे [2019]

Apne Bank Branch ka IFSC Code Kaise Pata Kare?

Waise to IFSC code ko pata karne ke liya bahut sare website hai lekin mai isme imortant website ka hi jkikar karunga jisse maine IFSC code pata kiya hua hai.

Option 1st : RBI Website Se Pata Kare

Sabse pahle RBI ki website par jakar bhi aap pata kar sakte hai. Is website par code pane ke liye niche diye gaye steps ko follow kare. Agar aap ka internet speed fast hai tabhi is option ko try kare.

Steps

Sabse pahle RBI ki website par jaye . Click here.

  1. Apna bank name chune.
  2. Bank ka branch name likhe.
  3. Get Bank Details button par click kare.
Find IFSC Code Kaise Pata Kare

Ab aapke samne aapke bank branch ka IFSC code dikhegi.

Option 2nd: IFSC Finder Website Se Pata Kare

IFSC finder ki website par jakar bhi aap pata kar sakte hai. Is website par code pane ke liye niche diye gaye steps ko follow kare.

Steps:

Sabse pahle aap bank ifsc code ki website par jaye. Click kare

  1. Bank name select kare.
  2. State name chune.
  3. District name chune.
  4. Ab bank branch name chune.
 IFSC Code Kaise Pata Kare

Branch name ko select karte hi aapko aapne bank branch ka IFSC code dikh jayegi.

पिछला लेखYouTube Monetization Policy के नए नियम 2018
अगला लेखFunction Keys क्या है और कहाँ होता है इन का इस्तेमाल
वर्मन बाबू एक professional blogger है | ये Blogging, SEO, Affiliate Marketing, Make money online, Internet, BlogSpot, WordPress, Computer-related tips, How to guides, Email marketing, Social media, Tips, and tricks इत्यादि से रिलेटेड article लिखते है | नयी चीज़ के बारे में जानना सोचना और Blogging के द्वारा अपनी जानकारी सबके साथ शेयर करना इन्हें अच्छा लगता है |

उत्तर छोड़ दें

Please enter your comment!
Please enter your name here