Google Chrome Extensions Kya Hai Kaise Install Kare

0

Google chrome extensions kya hai aur isse kaise install kiya jata hai aur iske kya fayde hai aaj is article ke jariye mai aapko batane ja rha hu.

Jaisa ki aap jante hai Google chrome browser internet access karne ke liye sabse jayada use kiya jata hai. Is post ke jariye aap jaan payenge ki google chrome browser me nya koi features kaise add karte hai.

Aaj ke samay PC ke alwa mobile pe internet use karne ke liye chrome browser ki use ho raha hai. Mobile chrome browser me extension features nhi available hai.

To aaye vistaar me jaane ki Google Chrome Extensions Kya Hai Kaise Install Kare.

Google Chrome Extensions Kya Hai Kaise Install Kare

Extension Kya Hai ?

Extension ek software application ki tarah hai. Jaise koi bhi software aap apne computer me install karte hai thik usi tarah aap extension ko Google chrome browser me install karna hota hai. Aur is tarike se aap apne browser me ek naya feature add kar paate hai.

In easy word : Software jise hum google chrome browser me install karte hai usse extension kahte hai.

Google Chrome Browser me Extension Kaise Install Kare?

Aaye ab jaante hai ki extension ko browser me kaise add karte hai. Kisi bhi extension ko install karne ke liye aapko Google ke extension store/ web store pe jaana hota hai. Google ke extension store pe jane ke liye yaha pe click kare.

Google chrome browser me extension kaise install kare

Ab aap search box me extension name type kare aur search suggestion pe click kare. Ab extension ki list samne dikhega. Ab Extension name ke samne diye gaye “ADD TO CHROME” button pe click kare aur wo extension browser me install ho jayegi.

Internet Connection Ko Enable Disable Kaise Kare

Google Chrome Extension Ko Kaise Use Kare?

Extension successfully install hone ke baad aap ko apne chrome browser ke top right side corner pe extension ka small icon dikhega, is icon pe click kar aap extension (software) ka features access kar sakte hai.

Google Chrome Extension Ko Kaise Delete Kare?

Agar aap kisi extension ko delete karna chahte hai to vo bhi bhut easy hai. Delete karne ke liye chrome browser ke settings me jana hota hai .

  • Sabse pehle browser ki settings option pe click kare.
  • Ab extension option pe click kare.
  • Ab jis extension ko uninstall karna chahte hai uske same delete ke icon pe click kare.
  • Ab extension aapke chrome browser se remove ho jayegi.

दोस्तों अगर ये जानकारी आपको अच्छी लगी है तो इस article को अधिक से अधिक शेयर कीजिये.

पिछला लेखFree Me File Share Kaise Kare
अगला लेखInternet Connection Ko Enable Disable Kaise Kare
Verman Babu
वर्मन बाबू एक professional blogger है | ये Blogging, SEO, Affiliate Marketing, Make money online, Internet, BlogSpot, WordPress, Computer-related tips, How to guides, Email marketing, Social media, Tips, and tricks इत्यादि से रिलेटेड article लिखते है | नयी चीज़ के बारे में जानना सोचना और Blogging के द्वारा अपनी जानकारी सबके साथ शेयर करना इन्हें अच्छा लगता है |

उत्तर छोड़ दें

Please enter your comment!
Please enter your name here