32-Bit Aur 64-Bit प्रोसेसर में क्या अंतर है

0

32-Bit Aur 64-Bit: Aaj ke samay me har koi computer aur laptop ka use kar raha hai. Aapne suna hoga ki computer ke sath mobile me processor use hote hai. Kya aapne kabhi socha ki ye processor kya hai. Kya aapne kabhi jaane ki koshish ki hai 32-bit aur 64-bit processor me kya antar hai.

Aksar jab koi computer/laptop kharidne ki sochte hai to unhe ye baat samajh nahi aata ki 32-bit processor lena hai 64-bit. Is article me aapke mann ke sare sawalo ka jawab mil jayenge aap isse last tak ache se padhe.

32-Bit Aur 64-Bit प्रोसेसर में क्या अंतर है

Processor Kya Hai?

Processor ek electronic chip hai. Isse hi aapke computer me koi bhi program run karta hai aur ye computer se connected sabhi device se request leta hai aur request ke anusar program run karta hai aur fir aapko response deta hai.

Assan shabdo me.

Processor computer ke brain ka kaam karta hai.  Iska kaam hota hai input lena aur uske anusar sahi output dena.

Ab tak aap samajh chuke honge ki Processor kya hai aur iska kya kaam hai.Processor ke mainly 2 categories hai 32-bit and 64-bit.  Ab jante hai ki 32-bit aur 64-bit processor me kya antar hai.

32-बिट क्या है? (What Is 32-Bit)

32 bit ek type ka processor hai jisme 32bit of data per clock cycle me transfer/process hoti hai. 32 bit ka matlab aap rasto ki sankhya samjh lijiye jinse matlab ye hai ki 32 samanantar(paraller) raste hote hai data ko transfer/travel karne ke liye. 32bit processor ek bar me 32bit data ko hi ek sath processor kar sakta hai.

64-बिट क्या है? (What Is 64-Bit)

64-bit ek type ka processor hai jisme 64-bit of data per clock cycle me transfer/process hoti hai. 64-bit ka matlab aap rasto ki sankhya samjh lijiye jinse matlab ye hai ki 64 samanantar(paraller) raste hote hai data ko transfer/travel karne ke liye. 64-bit processor ek bar me 64-bit data ko hi ek sath processor kar sakta hai.

32-Bit Aur 64-Bit प्रोसेसर में अंतर

In dono processor me sabse bada fark ye hai ki dono ka data ko process karne ka speed alag hai. Kaun jyada calculation per second me karta hai vahi jaldi task complete karega.

  1. 64-bit processor per second me number of calculation jyada kar paati hai jisse aap computer me koi program fast hota hai. Iska matlab hai ki 32-bit processor ki tulna me 64-bit processor ki speed jyada achhi hoti hai.
  2. 64-bit processor me aap multi tasking jyada achhe se kar paate hai aur computer slow ya hang nahi hota hai.
  3. 32-bit program 64-bit par run ho jati hai par 64-bit program 32-bit system par nahi run hota hai.
  4. 32-bit me 4GB tak ka RAM use kiya ja sakta hai jabki 64-bit me 4GB se jyada RAM use kiya ja sakta hai.
  5. 32-bit par 32-bit wale software software kaam karte hai aur 64-bit par 64-bit wale software kaam karte hai. 32-bit software application 64-bit par bhi kaam karta hai lekin 64-bit program 32-bit par compatible nahi hote hai.

32-bit और 64-bit में कौनसा Processor अच्छा है?

Aaj samay teji se badal raha aise me technology  me bhi bahut sare badlav aaye hai. Aaj ke samay lagbhag sabhi company 64-bit processor par jyada dhyan de rahi aur jyada tar log 64-bit hi use kar rahe hai.

Aapke multitask ke liye 64-bit processor jyada achha rahega. Agar aap computer/laptop kharidne ki soch rahe hai to 64-bit processor hi aapke liye jyada sahi hoga.

पिछला लेखChrome Browser Ke Useful Google Chrome Keyboard Shortcuts
अगला लेखAmazon Prime Kya Hai और अमेज़ॅन प्राइम के क्या फायदे हैं
Verman Babu
वर्मन बाबू एक professional blogger है | ये Blogging, SEO, Affiliate Marketing, Make money online, Internet, BlogSpot, WordPress, Computer-related tips, How to guides, Email marketing, Social media, Tips, and tricks इत्यादि से रिलेटेड article लिखते है | नयी चीज़ के बारे में जानना सोचना और Blogging के द्वारा अपनी जानकारी सबके साथ शेयर करना इन्हें अच्छा लगता है |

उत्तर छोड़ दें

Please enter your comment!
Please enter your name here