Reliance JioFi ka Data Usage Kaise Check Kare

0

Aaj ke samay me agar aap Reliance Jiofi use kar rahe hai aur 4g speed ka luft utha pa rahe hai to ye bahut khusi ki baat hai. Jiofi ka use aapke internet use karne ke interest ko aur bhi badha deta hai. JioFi ka use karte samay har user ke mann me ye sawal aata hoga ki vo apne data usage ko check kar sake.

Aaj is post me ham janenge ki Reliance JioFi ka data usage kaise check kare. Jab innternet use karne ki baat hoti hai to sabse pahle uske speed par user ka dhyan jata hai. JioFi ki speed kafi achi hai jise se user apne mobile ya laptop par internet ki chala sakta hai.

Reliance JioFi ka Data Usage Kaise Check Kare

Agar aap jiofi user hai to aapne dekha hoga ki jiofi ka installation software nahi hai ye direct connect kar chal jata hai to aise me aakhir ham apna data usage kaise check kare.  Aaj mai aapko simple steps bata raha hu jisse follow kar aap asaani se apne JioFi ka data usage check kar payenge. Abhi jo data usage ham check vo current session ka hoga. Aaye JioFi ka Data usage details check karte hai.

Steps:

  1. Sabse pahle aap browser open kare.
  2. Ab aap 192.168.1.1 ya jiofi.local.html/ type kar open kare.
  3. Ab aap CTRL+F type kar Total Data Used keyword search kare.
  4. Ab yaha pe aap apne current session ka UL and DL dono dekh payenge.

 

Result:

Jiofi datausage

Upar diye gaye image me aap dekh sakte hai ki yaha par Total Data Used ke ander uplink aur downlink me used hua data show ho rha hai. Umeed karta hu upar di gayi jankari se aap jan chuke honge ki JioFi ka data usage kaise check karte hai. Is jankari se juda koi sawal ya sujhaw to aap comment kare ke bataye.

पिछला लेखअपने Twitter Followers कैसे बढ़ाये
अगला लेखBlog Ke Liye Google Analytics Account Kaise Banaye
वर्मन बाबू एक professional blogger है | ये Blogging, SEO, Affiliate Marketing, Make money online, Internet, BlogSpot, WordPress, Computer-related tips, How to guides, Email marketing, Social media, Tips, and tricks इत्यादि से रिलेटेड article लिखते है | नयी चीज़ के बारे में जानना सोचना और Blogging के द्वारा अपनी जानकारी सबके साथ शेयर करना इन्हें अच्छा लगता है |

उत्तर छोड़ दें

Please enter your comment!
Please enter your name here