Blog Directory Submission Kya Hai

0

Aaj ke is post me hum janenge ki blog directory submission kya hai. Lekin blog directory submission aur blog submission sites ke bare me janane se pahle hum ye jante hai ki blog directory kya hai.

Blog directory ek online website ki list hai. Blog directory ke ander category aur uske subcategory ke aadhar par website/blog ki list rehti hai. Bahut sare free blog directory hai to vahi bahut sare paid bhi maujud hai. Blog directory ko web directory bhi kehte hai.

Blog directory submission ek process hai jisme blog ko different directory website par submit kiya jata hai jo blog ko accept karti hai. Aise bahut sare blog directory maujud hai jinpar aap apne blog ki category ke anusar add(list) kar sakate hai. Ye aapke blog ke search engine ranking badhane me madad karti hai. Blog directory site par website ko uske category ke aadhar par list ki jati hai.

Blog Directory Submission Kya Hai

Asaan Shabdo Me:

Directory website par apne blog ko submit karne ke process ko blog directory submission kaha jata hai.

यह भी पढ़े:

25 High PR Blog Directory Submission Sites 2022

Blog ko Search Engine me rank karna ke liye bahut sare tarike hai jisme se ek blog directory submission bhi hai. Ye off Page SEO ka ek part hai. Blog ko directory site par submit kar aap apne blogging circle se se bahar ke bhi readers ko jod sakte hai.

Directory Listing Kitne Types Ke Hai ( Types of Directory Listing)

Directory submission listing generally 3 type ke hote hai. Aaye detail me ek ek kar ke jane.

  • Free Regular Link

Ye directory listing free hoti hai yani ki is par aapko apne website submit karne ka koi fee nahi dena hota hai. Lekin is approve hone me thora time lag jata hai. Free link submission ka review period 3-6 months ka rehta hai. Itne samay ke baad approve hone par aapki blog listing me live hoti hai.

  • Featured Link

Ye bhi listing ke ek type hai. Yeh basically paid listing hoti hai yani ki is tarah ki listing karne ke liye aapko paise paid karna hota hai. Isme aapki blog 24-48 hours ke ander directory site par live ho jati hai.

  • Reciprocal Link

Ye listing type bhi free hoti hai. Is optio ko select kar aap apna blog submit karte hai to aapko koi paise nahi dene hote hai. Lekin isme aapko ek reciprocal link ki jarurat hoti hai. Aapko ek link diya jata hai jo aapko apne blog par add karna hota hai.

Blog Directory Submission Ke Kya Fayde Hai( Benefits Of Directory Submission)

Ab aap samajh chuke hai ki Blog directory submission kya hai aur kitne prakar ke hote hai. Ab aapko batate hai iske kya fayde hai.

  1. Blog ko directory site me submit karne se quality aur safe backlink milta hai. Jyada tar blog directory listing ko manual review karke approve karte hai to aise me aapke website ko ek spam free aur quality backlink milti hai.
  2. Aapke site ki search engine ranking increase hoti hai.
  3. Website ki traffic badhti hai.
  4. Aapke blog ke overall earning increase hoti hai kyunki aap ki website ki traffic badhti hai.agar aapne koi monetozation method use kiya hua hai to.
  5. Page rank(PR) ,Domain authority(DA) increase hoti hai aur SERP me bhi achi position aati hai.

Blog Directory Submission Kaise Kare ?

Agar blog directory submission karna chahte hai to uske pahle kuch chije ready rakhni chahiye. Jante hai vo kya hai.

Step 1.

Sabse pahle ek notepad file open kare niche diye gaye sabhi jankari save kar le.

  1. Apne blog ka URL.
  2. Blog Title (70 characters)
  3. Blog ke bare me short description likhe (250 words).
  4. Apna name likhe.
  5. Apne email id likhe.

Step 2.

Ab aap apne blog ko submit karne ke liye google me high PR directory list search kar ke open kar le jisse par aapko apne blog ko submit karna hai. Blog directory choose karne ke liye aap un sites ka PR aur DA check kar ke bhi conform ho sakte hai ki aapke liy useful hai y nahi. Useful site ko open kar le.

Maan lijiye ki aap https://www.9sites.net  par blog submit karna chahte hai to is link ko open kare.Ab aap Add a Site link par click kare.

Step 3.

  1. Regular Links Free option ko chune.
  2. Blog ki category chune(jisme aap apne blog ko list karna chahte hai).
  3. Blog URL likhe (notepad se copy kar paste kare)
  4. Blog ka title likhe (notepad se copy kar paste kare)
  5. Blog Description likhe (notepad se copy kar paste kare)
  6. Apna naam likhe (notepad se copy kar paste kare).
  7. Apni email id likhe (notepad se copy kar paste kare).
  8. Ab next or submit button par click kare.

Listing karte samay name aur email jarur add kare kyunki jab aapki listing live ho jati hai tab aapke email id par ek mail aa jati hai. Kabhi kabhi aapki blog listing unapprove jata hai to aisse me aapko mail aa jayegi aur aaap recorrect kar fir se submit kar skate hai.

Umeed hai ki Blog directory submission kya hai aur kitne prakar ke hote hai kaise karte hai in sabhi sawalo ka jawab aapko mil paya hoga aur aap isse jaan paye honge.

Agar aapka is jankari se jura koi bhi swal ya sujhav ho to comment kar bataye. Agar ye jankari achhi lagi ho to isse share jarur kare.

पिछला लेखCorelDraw Kya Hai
अगला लेख25+ High DA Blog Directory Submission Sites 2022
Verman Babu
वर्मन बाबू एक professional blogger है | ये Blogging, SEO, Affiliate Marketing, Make money online, Internet, BlogSpot, WordPress, Computer-related tips, How to guides, Email marketing, Social media, Tips, and tricks इत्यादि से रिलेटेड article लिखते है | नयी चीज़ के बारे में जानना सोचना और Blogging के द्वारा अपनी जानकारी सबके साथ शेयर करना इन्हें अच्छा लगता है |

उत्तर छोड़ दें

Please enter your comment!
Please enter your name here