Apni Google Search History Kaise Delete Kare

0

Aap sab Google Seach engine ke bare me jaankari rakhte honge.

Internet pe sabse jyada use hone wale site me phela no Google ka aata hain kunki Google ek search engine hai jisse use kar ham baaki sab website ko dundh paate hai .

Kya aap jante hai ki Google search engine me har user jo kuch bhi search karte hai unki history save ho jaati hai. Yeh history user ke Google ke account me store ho jaati hai aur user apna account login kar dekh sakta hai vo kis samay kya search kiya tha.

Is lekh me aap janenege ki Google search history kaise delete ki jati hai.
Apni Google Search History Kaise Delete Karen

Google aapki search history record ko save rakhta hai aur uss se juri hui chijo ko apke browser me hai . Apne Google adsense ads ko dekha hoga usme jyada tar aise advertisement aapko dikhta hai jo aap Google me jyada search karte hai.

Agar aap chahte hai ki history nhi save to aap account login kar setting badal sakte hai , jiske baad apki search ka history store nhi hogay ya fir aap selected history ko delete kar sakte hai.

 Google Search History Ke Fayde.

Search history ka sabse bada fayda ye hota hai ki aap ke dwara search ki gayi sabhi records Google search history me save hota hai aur kabhi jarurat hone par aap apni search history ko dekh sakte hai ya fir use kar bhule gaye hue site ka detail bhi fir se paa sakte hai.

यह भी पढ़े:  Facebook Search History Kaise Delete Kare

Google Search History Kaise Delete Kare.

Single search history delete

  • Sabse pahle aap apna search history ko dekhne ke liye https://myactivity.google.com website pe jaaye aur account login kare.
  • Ab apke dwara ki gayi search ki history aap ke saamne dikhegi.
  • Agar aap kisi history ko delete karna chahte hai to aap un history ko select kar Delete button pe click kare.
  • Aap ki search ki hui vo history delete ho jayegi.Single search history delete

Multiple/All search history deletes

Agar aap date wise select kar history delete karna chahte hai to “delete activity by” pe click kare.

  • Ab ek new page open hoga yha pe delete by date select kare.
    Yha pe aapko option dikhega

today,
yesterday,
Last 7 days,
Last 30 days ,
All time,
Custom

Delete karne ke liye date range bhi select kar sakte hai iske liye “custom” option chune.

  • Ab product choose kare jisse app delete karna chate hai. Sabhi ko delete karna chate hai to “All products” ko chune.
  • Ab “DELETE” pe click kare.Multiple/All search history deletesAb aapke dwara chuni gaye option ke anusar aapki Google search history delete ho jayegi. Umeed hai ab jaan gaye honge ki Google search history kaise delete ki jati hai agar aapko ye jankari achhi lagi to isse share jarur kare.
पिछला लेखApne FeedBurner ID का पता कैसे लगाये
अगला लेखBlog Me Contact Form कैसे Add करे Google Drive की मदद से
वर्मन बाबू एक professional blogger है | ये Blogging, SEO, Affiliate Marketing, Make money online, Internet, BlogSpot, WordPress, Computer-related tips, How to guides, Email marketing, Social media, Tips, and tricks इत्यादि से रिलेटेड article लिखते है | नयी चीज़ के बारे में जानना सोचना और Blogging के द्वारा अपनी जानकारी सबके साथ शेयर करना इन्हें अच्छा लगता है |

उत्तर छोड़ दें

Please enter your comment!
Please enter your name here