Facebook Fan Page Website Me Kaise Add kare

0

Facebook par jab aap apni website ke liye Fan Page banate hai tab facebook aapko apki fan page ke liye widget create karne ka option deta hai. Jab aap widget ko website me add karte hai tab aapke blog ke reader like button pe click kar aapke facebook ke page ko join kar paate hai.

Facebook Fan Page Website Me Kaise Add kare

Facebook Fan page kaise banaya jaata hai jaane ke liye is padhe Facebook Fan Page Kaise Banaye

Facebook ke Page Plugin Website/blog me kyun add karna chahiye 

Facebook ki like box yani ki page plugin kisi bhi website aur blog ko promote karne ke liye bahut jyada mayne rakhta hai. Facebook Fan Page ki madad se aap apne blog/website ko promote kar sakte hai. Aap Facebook ke page yani ki page plugin ko apne website me add kar sakte hai. Facebook Fan Page plugin ko website me add karne se ye fayada hai ki jab koi visitors aapki site pe aaat hai aur usse apki site usse pasand aata hai to vo aapke facebook page ko like kar uska fan ban jayega. Ab jab kabhi aap kisi post ko share karenege facebook page pe to usse uski jaankari mil jati hai.

Facebook Page Plugin website me kaise Jode

Iske liye kuch simple steps hai

Sabse pahle aap Facebook Page Plugin vale page ko open kare. Open karne ke yha click kare. Iske baad aap Page Plugin Select kare.

ab facebook page open hone ke baad aap Facebook pgae URL ko badalakar aap apne Facebook Fan Page ki URL daale.  Jab aap apni fan page url paste karte hai tab aapko fan page ka preview dikh jayega.

Facebook Fan Page Website Me Kaise Add kare

Aap facbook page plugin ka height , width aur sare option ko customize yani ki change kar sakte hai apni jarurat ke anusar.

Iske baad Get Code button pe click kare.

Ab 3 option aapko milega aap inme se koi bhi ek ka code copy kar apne website ke text widget me add kar save kar de. Ab website ko reload kar ke dekhenge to aap payenge ki Facebook ki Fan page ka page plugin add ho gya hai.

पिछला लेखFacebook Fan Page Kya Hai Isse Kaise Banaye
अगला लेखBlogspot Country Specific Redirect Ko Kaise Band Kare
Verman Babu
वर्मन बाबू एक professional blogger है | ये Blogging, SEO, Affiliate Marketing, Make money online, Internet, BlogSpot, WordPress, Computer-related tips, How to guides, Email marketing, Social media, Tips, and tricks इत्यादि से रिलेटेड article लिखते है | नयी चीज़ के बारे में जानना सोचना और Blogging के द्वारा अपनी जानकारी सबके साथ शेयर करना इन्हें अच्छा लगता है |

उत्तर छोड़ दें

Please enter your comment!
Please enter your name here