9 Best Steps Badhiya Blog Post लिखने के लिए

2

Aapka blog par readers kitna time tak article padhte hai ye pura ka pura aapke article ke content quality par nirbhar karta hai. Agar aapke blog reader ko apka content poor lagta hai to vo aapke blog article par jayda time nahi dee hai.

Jab aap blog ke liye koi post likhte hai tab aapko ye baat dhyan me rekhna chahiye ki audience jo aapke blog par aate hai unhe ek value deliver kare yani ki unhe puri detail me vo jankari mile jiske liye vo  aapke blog article par aate hai.

Agar aap ke liye hmesha ye problem hoti ki ek achha article kaise likha jaye to aaj ke is post me aapko bata raha hu ki Badhiya Blog Post Kaise Likhe.SEO friendly blog post kaise likhe.

Agar aapke liye bhi acha blog post likhna challenge hai to 9 Steps badhiya blog post likhne ke liye bata raha hun pura post padhne ke baad asaani se acha article likh payenge.

9 Best Steps Badhiya Blog Post लिखने के लिए

Ek Badhiya Blog Post Kaise Likhe(How to Write a Good Blog Post)

Step 1. Topic Choose Kare [Plan out your topics]

Step 2. Apne Initial Thoughts and Resources ko Likhe

Step 3. Blog Post Structure Banaye

Step 4. Right Keyword Chune aur Headline Likhe.

Step 5. Blog Post likhe [Write your content]

Step 6. Content SEO Optimized Kare.

Step 7. Image Ka Use kare.

Step 8. Edit -> Revise -> Proofread Kare

Step 9. Publish

Ab upar diye gaye steps ki detail me jankari.

Step 1. Topic Choose Kare

Blog post likhne ke liye sabse pehle aapko topic select karna hota hai aur topic select karte samay aapko is baat par dhyan chahiye ki aap jo topic select kar rahe to vo aapke pasand ki honi chahiye aur sath hi ye bhi dhyan de readers isse search karte hai ya nahi. Har blog post to utna search me nahi pata hai fir bhi aap jab likhne ke liye topic select kare to ye dhyan rahe ki vo aapke pasand ka topic ho taki aap uske bare me interest ke sath padh sake kyunki jab aap kisi bhi chij ke bare me achhe se jante rehte hai tabhi acha likh sakte hai.

Aap kisi bhi topic ke bare me likhte samay jitna jyda interest ke sath likhenge aapke blog readers bhi padhte time utna hi interest ke sath usse padhenge.

Step 2. Apne Initial Thoughts and Resources Ko Likhe

Apne topic choose kar liya hua hai ab aapke dimag me jo bhi us topic se jura thoughts hai usse likhe. Topic se juri important jankari aap kahi bhi notedown kar le. Ye Resources ka kaam karega aur aapko pata hoga ki aapko content likhte samay kya kya point hai jin par focus karna hai aur sath hi post content me jo baate aap batana chahte hai jo aapke mann me hai vo miss nahi hoga.

Step 3. Blog Post Structure Banaye

Ab aapko apne blog post ka ek structure banana hai ya fir ye kahi ek template banana hai jo aap online Google Doc me bhi bna sakte hai. Ab aapko apne post ke liye ek simple sketch tyar karna hai. Yaha par aapko thora samay de kar sochne ki jarurat hogi ki aapke post content ke liye kaise format(structure) sahi hoga.

Aapko post content kaise likhana hai jaise ki how to guides rakhna hai jisme step by step solution batana hai ya fir Kya Kaise ki jankari wali post hai jisse aap list ke format me rakhenge. Yaha par aap ek rough structure banaye ki aapke post ke ander kya kya hoga aur use kis tarah se aap represent karenge.

Agar aap kisi topic ke bare me bata rahe ki kya hai full detail me to aise me aap ek structure banaye jisme title me Kya hai likhe uke baad subheading ka use kare jaise ki kyun use karte hai, kaise kaam karta hai, Use karne se kya fayde hai,conclusion,Pro aur cons.

Asaan shabdo me kaha jaye to aapko ek format tyar karna hai jisme aap ye likhe le ye ye bate hai jinke bare me mujhe likhna hai.

Step 4. Right Keyword Chune Aur Headline Likhe.

Ab aapko apne topic se juda sahi keyword chunana hai jisse aap target karenge.  Aap ko hmesha aisa keyword select karna hai jiski search jyada ho aur competition Kam ho. Apne topic se related keyword select karne ke liye aap keyword planner tool ka use kar sakte hai jaise ki Google AdWords ya keyword.io etc..

Sahi keyword ko target karne se aapki post search me jaldi achhi ranking par aati hai jisse aapke blog par organic traffic badhta hai. Apne blog post ke liye research hmesha achhe se kare .

Jab aap sahi keyword chun lete hai tab aapko apne blog post ke heading likhna hai. Heading likhte samay aap target keyword ka use kar ke heading likhe. Heading SEO ke liye bahut hi jayda mahatva rakhta hai. Aap aisa heading likhne ki koshish kare ki log uske bare me padhne ki koshish kare. Heading likhte samay dhyan se catchy heading likhe jo search engine me jaldi rank kare aur sath hi aapke reader ko bhi prabhavit(influence) kare.

Step 5. Blog Post Likhe.

Ab aapko apna blog post likhna hai. Sabse pahle lead paragraph likhe aur dhyan dena hai ki aapka target keyword aur heading isme jarur aaye. Ab yha aapko apne blog ke first paragraph likhna hai jisme ye jarur likhe ki aap kis topic ke bare me batane ja rahe hai sath hi isme apne target keyword (main keyword) ka istemal jarur kare.

Ab aapne step 3 me blog post ka structure banaye hai usse ke anusar post content ko likhe aur pura kare.

SEO Keywords: कीवर्ड क्या है. SEO सीखे

Step 6. Content Ko SEO Optimized Kare.

Ab Aap apne mann ke anusar format me content likh chuke hai. Yaha par ab aapko content ko SEO optimized karna hai yani ki content me main keyword ko kai bar use kare. Jab aap SEO ke liye content par kaam karte hai to aise me aap ye bhi dekhe jo word ya keyword apne post me use kiya hua hai aur usse se related post aap likh chuke hai to aise me aap us keyword par apne pehle ke post ko internal link de. Ye SEO ke liye kafi jyda useful hota hai aur isse aapke reader jyda der tak aapke blog par ruke rehenge.

Aap apne post content me internal link ka use kare. Yaha par aap keyword ko related content ke liye link jarur kare ek tarike se ye backlink ban jata hai jo SEO kel liye achha rehta hai..

Note :

Aap apne readers ko apne blog par related content par point kar sakte hai.
Apne blog related content ke liye backlink banaye.

Step 7. Image Ka Use kare.

Ab samay hai ki aap apne content ko visual look me dikhaye. Jab aap apne post me graphic use karte hai to aise me reader ko koi steps asaani se samjh me aa jati hai.

Google bhi is baat par focus karta hai ki aapke content par visitors kitna der tak rehta hai to aise me aapko acha image ka use karna chahiye jo aapke visitors ko achha lage.

Agar aap image add kiye rehte hai to Social media par jab aap post ko share karte hai to aise me aapke post ke sath image bhi display hoti hai jisse user par acha effect hota hai. Internet par online users ka dhyan text se jyda visual chijo par hota hai to image/graphic ka use apne post me jarur kare.

Step 8. Edit -> Revise -> Proofread Kare

Aap jante hote hai ki post content me aapne kya likha hai lekin fir bhi aap apne likhe content ko aur improve kar sakte hai ye aapko pata hoga. Aap apne pure likhe content ko ek baar achhe se padhe(revise kare). Yha par aapko aap apne content me mistake dhundhe(proofread) aur usse sahi kare.

Ek baar fir se apne blog post ke title yani ki heading ko check kare ki vo sahi hai ya nahi.

SEO Kya Hai Aur SEO Kaise Karte Hai?

Step 9 .Publish

Step 1 to 8 pura karne ke baad aap ek badhiya blog post likh chuke hai aur isse publish kare.

Umeed karta hun ki aapko pata jaan paye honge ki ek badhiya blog post kaise likha jata hai. Agar is article se jura koi sawal ya sujhav mann me ho to comment me jarur kare. Agar aapko hamare dwara di gayi jankari pasand aaya hai to isse share jarur kare.

पिछला लेखBloggers Ke Liye Top 11 Google Chrome Extensions
अगला लेखInternal Linking क्या है ? इंटरनल लिंकिंग के फायदे
वर्मन बाबू एक professional blogger है | ये Blogging, SEO, Affiliate Marketing, Make money online, Internet, BlogSpot, WordPress, Computer-related tips, How to guides, Email marketing, Social media, Tips, and tricks इत्यादि से रिलेटेड article लिखते है | नयी चीज़ के बारे में जानना सोचना और Blogging के द्वारा अपनी जानकारी सबके साथ शेयर करना इन्हें अच्छा लगता है |

2 टिप्पणियाँ

उत्तर छोड़ दें

Please enter your comment!
Please enter your name here